shahr se dur
aao duur chaleñ
pīpal kī harī harī chhāñv meñ
baiTh ke dil bahlā.eñ
shahr kī is gahmā-gahmī meñ ab to jī ghabrātā hai
raanī dekho is nagrī meñ na koī krishn na rādhā hai
ye to shahr hai pyārī
kārobārī duniyā hai
man se ḳhālī tan vaale haiñ
dhan hī un kā gahnā hai
jhūTī rasmeñ jhūTe bandhan jhūTā un kā pyaar
kārobārī zehnoñ vaale hote haiñ ḳhuñḳhār
dhan daulat meñ tol ke dekheñ
har nirdhan kā pyaar
shahr meñ kyā rakkhā hai
aao duur chaleñ
hare bhare khetoñ meñ chal ke apne zaḳhm si.eñ
duur kahīñ mandir ke pīchhe baiTh ke dil bahlā.eñ
duur kahīñ pīpal ke nīche man kī jot jagā.eñ
aao ġham ko bhuul bhī jaa.eñ
aao shahr se duur chaleñ
aao dur chalen
pipal ki hari hari chhanw mein
baiTh ke dil bahlaen
shahr ki is gahma-gahmi mein ab to ji ghabraata hai
rani dekho is nagri mein na koi krishn na radha hai
ye to shahr hai pyari
karobari duniya hai
man se KHali tan wale hain
dhan hi un ka gahna hai
jhuTi rasmen jhuTe bandhan jhuTa un ka pyar
karobari zehnon wale hote hain KHunKHar
dhan daulat mein tol ke dekhen
har nirdhan ka pyar
shahr mein kya rakkha hai
aao dur chalen
hare bhare kheton mein chal ke apne zaKHm sien
dur kahin mandir ke pichhe baiTh ke dil bahlaen
dur kahin pipal ke niche man ki jot jagaen
aao gham ko bhul bhi jaen
aao shahr se dur chalen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.