shajar-e-mamnua
ek shajar
phūloñ kī ḳhushbū
bhīnī bhīnī
shahad ke phal
raushan āñkheñ
chaḌhī kamāneñ
tauba kī Daalī
matvālī
haath baḌhāyā
merā qad chhoTā thā
chāhā baḌh jaa.e
hoñToñ par dil
ḳhuun mizha tak
khiñch aaya
āñkheñ phāḌīñ
muñh kholā
ruk ga.iiñ sāñseñ
palTā shajar
āñkhoñ se ojhal
dil par bojh
phir bhī ḳhayāloñ meñ aatā hai
ḳhālī haath bhaḌak uThte haiñ
āñkheñ jalne lagtī haiñ
ḳhūn-e-jigar khiñch aatā hai
ek shajar
phulon ki KHushbu
bhini bhini
shahad ke phal
raushan aankhen
chaDhi kamanen
tauba ki Dali
matwali
hath baDhaya
mera qad chhoTa tha
chaha baDh jae
honTon par dil
KHun mizha tak
khinch aaya
aankhen phaDin
munh khola
ruk gain sansen
palTa shajar
aankhon se ojhal
dil par bojh
phir bhi KHayalon mein aata hai
KHali hath bhaDak uThte hain
aankhen jalne lagti hain
KHun-e-jigar khinch aata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.