shajar-e-mamnua se pare
ai bī-bī havvā
ham tere bachche
tujh se bichhaḌ ke
bashrī samundar ke
pai-dar-pai thapeḌoñ se
duur aur bhī duur ho ga.e haiñ
bhiiḌ meñ kho ga.e haiñ
tumhāre hamāre
darmiyāñ thā jo harf-e-shīrīñ kā qissa
vo dard-āshnā lamha, vo mamtā se labrez rishta
is rishte kī Dor se bañdhe
ham ḳhalāoñ meñ hachkole khā rahe haiñ
patañgoñ kī mānind
nanhe bachche ke hāthoñ se juuñ
chhūT jaa.e
ġhubāroñ kī Dor
aur bikhar jaa.eñ jaise
āsmāñ kī nāpaid bulandiyoñ meñ sabhī
ham bhii,
un hī ġhubāroñ kī tarah
ai bī-bī havvā
tujh se bichhaḌ ke
bhaTakte rahe haiñ
har lamha is ulajhtī bhūl-bhulayyoñ sī duniyā meñ
jī rahe haiñ
kisī taur
terī mamtā kī chaah meñ, aas lagā.e
shāyad
ḳhudā ko
ham par bhī kabhī taras aa jaa.e
aur...
naaf ke is uljhe hue rishte kā sirā
dobāra kahīñ jā ke phir tujh se mil jaa.e
shāyad
phir koī duniyā
kun-fa-yakūn se
ḳhalq ho jaa.e!
jahāñ bāġh-e-bahisht ke makīñ hoñ
aur ham hoñ
jahāñ iblīs kā na ho guzar
jahāñ shaitān kā na Dar ho
jahāñ amn-o-āshtī ho tamām!
ai kāsh!
apnā bhī aisā ghar ho
shajar-e-mamnūa se pare
ai bi-bi hawwa
hum tere bachche
tujh se bichhaD ke
bashri samundar ke
pai-dar-pai thapeDon se
dur aur bhi dur ho gae hain
bhiD mein kho gae hain
tumhaare hamare
darmiyan tha jo harf-e-shirin ka qissa
wo dard-ashna lamha, wo mamta se labrez rishta
is rishte ki Dor se bandhe
hum KHalaon mein hachkole kha rahe hain
patangon ki manind
nanhe bachche ke hathon se jun
chhuT jae
ghubaron ki Dor
aur bikhar jaen jaise
aasman ki napaid bulandiyon mein sabhi
hum bhi,
un hi ghubaron ki tarah
ai bi-bi hawwa
tujh se bichhaD ke
bhaTakte rahe hain
har lamha is ulajhti bhul-bhulayyon si duniya mein
ji rahe hain
kisi taur
teri mamta ki chah mein, aas lagae
shayad
KHuda ko
hum par bhi kabhi taras aa jae
aur
naf ke is uljhe hue rishte ka sira
dobara kahin ja ke phir tujh se mil jae
shayad
phir koi duniya
kun-fa-yakun se
KHalq ho jae!
jahan bagh-e-bahisht ke makin hon
aur hum hon
jahan iblis ka na ho guzar
jahan shaitan ka na Dar ho
jahan amn-o-ashti ho tamam!
ai kash!
apna bhi aisa ghar ho
shajar-e-mamnua se pare
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.