Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

shararat

Irfan Jafari

shararat

Irfan Jafari

MORE BYIrfan Jafari

    button qamīz ke

    ab bhī TūTte haiñ magar

    nazdīk mere chehre ke

    bikhrī huī sāñsoñ

    ḳhushbū nahīñ uḌtī

    button ab bhī TūTte haiñ magar

    uñgliyoñ meñ kapkapī nahīñ hotī

    na

    suuī aur taage meñ

    pahlī jang hotī hai

    button ab bhī TūTte haiñ magar

    dā.era merī bāñhoñ

    ab kabhī nahīñ bantā

    suuī ab dil-lagī meñ nahīñ chubhtī

    ab koī be-sabab nahīñ hañstā

    aur chupke se ye nahīñ kahtā

    aaj milne kisī se mat jaanā

    aaj daftar se ghar chale aanā

    aaj achchhī Dish banā.ūñgī

    aaj ḳhud ko bhī maiñ sajā.ūñgī

    ka.ī baras

    baḌā zamāna huā

    ab kuchh nahīñ hotā

    button to ab bhī TuuTā karte haiñ

    ab unheñ maiñ Taañk letā huuñ

    kabhī milegā nahīñ

    varna us se ye batātā maiñ

    button TūTte nahīñ the washing meñ

    button maiñ toḌā kartā thā

    button qamiz ke

    ab bhi TuTte hain magar

    nazdik mere chehre ke

    bikhri hui sanson ki

    KHushbu nahin uDti

    button ab bhi TuTte hain magar

    ungliyon mein kapkapi nahin hoti

    na hi

    sui aur tage mein

    pahli si jang hoti hai

    button ab bhi TuTte hain magar

    daera meri banhon ka

    ab kabhi nahin banta

    sui ab dil-lagi mein nahin chubhti

    ab koi be-sabab nahin hansta

    aur chupke se ye nahin kahta

    aaj milne kisi se mat jaana

    aaj daftar se ghar chale aana

    aaj achchhi si Dish banaungi

    aaj KHud ko bhi main sajaungi

    kai baras

    baDa zamana hua

    ab kuchh nahin hota

    button to ab bhi TuTa karte hain

    ab unhen main hi Tank leta hun

    kabhi milega nahin

    warna us se ye batata main

    button TuTte nahin the washing mein

    button main hi toDa karta tha

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now