Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

shararten

MORE BYMurtaza Sahil Tasleemi

    syāhī mal ke chehre par añdhere meñ dikhātā huuñ

    maiñ ban kar bhuut aksar chhoTe bachchoñ ko Darātā huuñ

    maiñ kab darja meñ apnī harkatoñ se baaz aatā huuñ

    koī dekhe agar merī taraf to muñh chiḌhātā huuñ

    rabar chhipkilī rakhtā huuñ bachchoñ kitāboñ meñ

    kabhī meñDak pakaḌ kar un ke bastoñ meñ chhupātā huuñ

    galī ke log bhī merī sharārat se pareshāñ haiñ

    bajā kar un ke darvāze kunDī bhaag jaatā huuñ

    kabhī abbū se piTtā huuñ kabhī aisā bhī hotā hai

    gad.he dum pakaḌ kar khīñchne par laat khātā huuñ

    ab aksar sochtā rahtā huuñ ye aadat nahīñ achchhī

    ki 'sāhil' dūsre logoñ ko maiñ nāhaq satātā huuñ

    syahi mal ke chehre par andhere mein dikhata hun

    main ban kar bhut aksar chhoTe bachchon ko Daraata hun

    main kab darja mein apni harkaton se baz aata hun

    koi dekhe agar meri taraf to munh chiDhata hun

    rabar ki chhipkili rakhta hun bachchon ki kitabon mein

    kabhi meinDak pakaD kar un ke baston mein chhupata hun

    gali ke log bhi meri shararat se pareshan hain

    baja kar un ke darwaze ki kunDi bhag jata hun

    kabhi abbu se piTta hun kabhi aisa bhi hota hai

    gadhe ki dum pakaD kar khinchne par lat khata hun

    ab aksar sochta rahta hun ye aadat nahin achchhi

    ki 'sahil' dusre logon ko main nahaq satata hun

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now