shishe ka makan
muTThī bhar ḳhaak se ziist kā sāmān
ret ke tuude par shīshe kā makān
jo ban jaa.e to makīnoñ ke dhaḌakte dil
ḳhauf se larzā-o-hirāsāñ raheñ har pal
ki pūrab se aa.ī āñdhī
yā pachchhim se patthar kī zarb
chahār-jānib changez-o-halākū ke jā-nashīñ
amn-o-shāñtī ke pardoñ meñ halākat kī bāteñ
jin se laraz jaa.eñ pahāḌoñ ke parat
kamzor haath duāoñ ke liye uThte hue
na.ī tahzīb meñ ḳhud ko tanhā dekh kar
ki pūrab se aa.ī āñdhī
yā pachchhim se patthar kī zarb
muTThī bhar ḳhaak se ziist kā sāmān
ret ke tuude par shīshe kā makān
muTThi bhar KHak se zist ka saman
ret ke tude par shishe ka makan
jo ban jae to makinon ke dhaDakte dil
KHauf se larza-o-hirasan rahen har pal
ki purab se aai aandhi
ya pachchhim se patthar ki zarb
chahaar-jaanib changez-o-halaku ke ja-nashin
amn-o-shanti ke pardon mein halakat ki baaten
jin se laraz jaen pahaDon ke parat
kamzor hath duaon ke liye uThte hue
nai tahzib mein KHud ko tanha dekh kar
ki purab se aai aandhi
ya pachchhim se patthar ki zarb
muTThi bhar KHak se zist ka saman
ret ke tude par shishe ka makan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.