shikast
balcony se bāhar jhāñkā
ā.īne meñ sūrat dekhī
lipstick se hoñT sañvāre
apnī ghaḌī ko jhūTā samjhā
bāhar aa kar vaqt milāyā
vaqt ko bhī jab sachchā paayā
ġhusse meñ daañt apne piise
resham jaise baal khisoTe
saare ḳhat chūlhe meñ jhoñke
ā.īne par patthar maarā
itne meñ phir aahaT paa.ī
dauḌī dauḌī bāhar aa.ī
lekin ḳhud ko tanhā paayā
aaj us ne phir dhokā khāyā!
balcony se bahar jhanka
aaine mein surat dekhi
lipstick se honT sanware
apni ghaDi ko jhuTa samjha
bahar aa kar waqt milaya
waqt ko bhi jab sachcha paya
ghusse mein dant apne pise
resham jaise baal khisoTe
sare KHat chulhe mein jhonke
aaine par patthar mara
itne mein phir aahaT pai
dauDi dauDi bahar aai
lekin KHud ko tanha paya
aaj us ne phir dhoka khaya!
- Book : Khala Ki Dhund Me.n Ham Chal Rahe hai.n (Pg. 51)
- Author : Aftab Shamsi
- Publication : Aftab Shamsi, Sharib Lodge, Khusro Bagh Road, Rampur-244901 (2008)
- Edition : 2008
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.