shikast-e-arzu
vo jā rahā thā
aur
maiñ ne bas ye kahā thā
suno ziyāda der mat karnā
vaqt rahte palaT aanā
us ne merī āñkhoñ meñ jhāñkte hue kahā
ham jab mileñge bahāreñ hoñgī
vaqt kuchh nahīñ bigāḌegā
aaj vo palaT aayā hai
use merī siyāh āñkheñ bahut pasand haiñ
magar siyāh halqe nahīñ
aur merī āñkhoñ kī raushnī gahre halqoñ ke bādal ne nigal chuke haiñ
māthe par fikr kī tevrī hai
tanhā.ī kī dhuup ne mere vajūd ko jhulsā diyā hai
akele-pan meñ lab kāTne kī aadat ne
guloñ se rañgat churā lī hai
vaqt kā panchhī shādmānī ko apne saath le uḌā hai
aur vo
āñkhoñ par nafīs chashma sajā.e
bahāreñ saath liye Table par mahv-e-intizār hai
maiñ us tak pahuñchte laḌkhaḌā ga.ī huuñ
aur vo khaḌā anjān nazroñ se kah rahā hai
ḳhātūn aap kī tabī.at Thiik nahīñ lagtī
kis se milnā hai kyā koī kho gayā hai
maiñ bas itnā hī kah sakī huuñ
kahā thā nā vaqt rahte palaT aanā
tum bahār ban kar khaḌe ho aur merā vaqt kho gayā
wo ja raha tha
aur
main ne bas ye kaha tha
suno ziyaada der mat karna
waqt rahte palaT aana
us ne meri aankhon mein jhankte hue kaha
hum jab milenge bahaaren hongi
waqt kuchh nahin bigaDega
aaj wo palaT aaya hai
use meri siyah aankhen bahut pasand hain
magar siyah halqe nahin
aur meri aankhon ki raushni gahre halqon ke baadal ne nigal chuke hain
mathe par fikr ki tewri hai
tanhai ki dhup ne mere wajud ko jhulsa diya hai
akele-pan mein lab kaTne ki aadat ne
gulon se rangat chura li hai
waqt ka panchhi shadmani ko apne sath le uDa hai
aur wo
aankhon par nafis chashma sajae
bahaaren sath liye Table par mahw-e-intizar hai
main us tak pahunchte laDkhaDa gai hun
aur wo khaDa anjaan nazron se kah raha hai
KHatun aap ki tabiat Thik nahin lagti
kis se milna hai kya koi kho gaya hai
main bas itna hi kah saki hun
kaha tha na waqt rahte palaT aana
tum bahaar ban kar khaDe ho aur mera waqt kho gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.