shikast-e-wafa
aadmī kis kā e.atibār kare
jab mohabbat hī ko davām nahīñ
vo mohabbat bhī kyā mohabbat hai
chaar din bhī jise qayām nahīñ
kashmakash-hā-e-zindagānī se
rishta ulfat kā TuuT jaatā hai
chand lamhoñ kī bad-gumānī se
saath barsoñ kā chhūT jaatā hai
zūd-ranj aadmī kī fitrat hai
aur matlab-parast ahl-e-jahāñ
vāqi.āt-e-jahāñ meñ sang-ba-dast
aur dil kārgāh-e-shīshagarāñ
kyā ta.ajjub hai phir agar is ne
kar diyā mahv ahl-e-ulfat ko
ye vafā kā mirī sila baḳhshā
bhuul baiThe mirī mohabbat ko
zindagī bhar nibāh ke va.ade
umr bhar kī vafā ke qaul-o-qarār
aah nā-pā.edār the kitne
jaise zulmat meñ hoñ numūd-e-sharār
phir bhī us kī taraf se ai hamdam
mere dil meñ koī ġhubār nahīñ
jāntā huuñ ki ek hālat par
gardish-e-charḳh ko qarār nahīñ
kar chukā huuñ muaaf use dil se
phir bhī ik pech-o-tāb hai mujh ko
dil ko samjhā chukā huuñ maiñ lekin
zindagānī azaab hai mujh ko
apnī ḳhuddāri-e-vafā kī qasam
nahīñ ronā ġham-e-judā.ī kā
us kī ma.asūmī-e-adā kī qasam
nahīñ ġham us kī bevafā.ī kā
haañ magar is jahāñ se huuñ bezār
jis meñ mehr-o-vafā kā naam nahīñ
chand roza hayāt se hāsil
jab mohabbat hī ko davām nahīñ
aadmi kis ka eatibar kare
jab mohabbat hi ko dawam nahin
wo mohabbat bhi kya mohabbat hai
chaar din bhi jise qayam nahin
kashmakash-ha-e-zindagani se
rishta ulfat ka TuT jata hai
chand lamhon ki bad-gumani se
sath barson ka chhuT jata hai
zud-ranj aadmi ki fitrat hai
aur matlab-parast ahl-e-jahan
waqiat-e-jahan mein sang-ba-dast
aur dil kargah-e-shishagaran
kya tajjub hai phir agar is ne
kar diya mahw ahl-e-ulfat ko
ye wafa ka meri sila baKHsha
bhul baiThe meri mohabbat ko
zindagi bhar nibah ke wade
umr bhar ki wafa ke qaul-o-qarar
aah na-paedar the kitne
jaise zulmat mein hon numud-e-sharar
phir bhi us ki taraf se ai hamdam
mere dil mein koi ghubar nahin
jaanta hun ki ek haalat par
gardish-e-charKH ko qarar nahin
kar chuka hun muaf use dil se
phir bhi ek pech-o-tab hai mujh ko
dil ko samjha chuka hun main lekin
zindagani azab hai mujh ko
apni KHuddari-e-wafa ki qasam
nahin rona gham-e-judai ka
us ki masumi-e-ada ki qasam
nahin gham us ki bewafai ka
han magar is jahan se hun bezar
jis mein mehr-o-wafa ka nam nahin
chand roza hayat se hasil
jab mohabbat hi ko dawam nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.