shikast-o-fath
bujhe bujhe se haiñ shā.ir ke zehn-o-dil ke diye
bhaTak rahā hai kahāñ jaa.e raushnī ke liye
ravish-ravish pe daraḳhshāñ hai barq-e-ḳhauf-o-hirās
jhulas rahe haiñ dar-o-bām-e-jazba-o-ehsās
nazar udaas hai vīrāñ haiñ saare nazāre
jabīn-e-sub.h se phūTe lahū ke favvāre
zamīñ pe lāshoñ ke gulshan meñ ḳhuuñ kī namī
ab ehtimām-e-bahār-e-chaman meñ kyā hai kamī
jamāl-e-sub.h-e-vatan āñsūoñ meñ mudġham hai
urūs-e-fasl-e-bahārāñ kī aañkh pur-nam hai
ba-faiz-e-jabr-o-sitam ġham ne fat.h paa.ī hai
vafā ke naam pe dil ne shikast khaa.ī hai
shi.ār-e-dīda-varī se guloñ ke shaad nahīñ
chaman ke phuul chaman haiñ ye un ko yaad nahīñ
sitam ko ahl-e-havas bhī sitam samajhte haiñ
ye aur baat hai sho.aloñ ko phuul kahte haiñ
simaTtī raat ke saa.e sahar kī raah meñ haiñ
ham aur chand ghaḌī zulm kī panāh meñ haiñ
bujhe bujhe se hain shair ke zehn-o-dil ke diye
bhaTak raha hai kahan jae raushni ke liye
rawish-rawish pe daraKHshan hai barq-e-KHauf-o-hiras
jhulas rahe hain dar-o-baam-e-jazba-o-ehsas
nazar udas hai viran hain sare nazare
jabin-e-subh se phuTe lahu ke fawware
zamin pe lashon ke gulshan mein KHun ki nami
ab ehtimam-e-bahaar-e-chaman mein kya hai kami
jamal-e-subh-e-watan aansuon mein mudgham hai
urus-e-fasl-e-bahaaran ki aankh pur-nam hai
ba-faiz-e-jabr-o-sitam gham ne fath pai hai
wafa ke nam pe dil ne shikast khai hai
shiar-e-dida-wari se gulon ke shad nahin
chaman ke phul chaman hain ye un ko yaad nahin
sitam ko ahl-e-hawas bhi sitam samajhte hain
ye aur baat hai shoalon ko phul kahte hain
simaTti raat ke sae sahar ki rah mein hain
hum aur chand ghaDi zulm ki panah mein hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.