shikast
terā saudā.ī tire paas ba-sad-ijz-o-niyāz
dāġh-e-dil apne dikhāne ko chalā aaya thā
dil pe kyā guzrī zamāne ne sitam kyā Dhaa.e
apnī rūdād sunāne ko chalā aaya thā
thā yaqīñ jab dar-e-mahbūb pe pahuñcheñge to phir
chehra-e-zīst se dhul jā.egī gard-e-ālām
apne dāman meñ chhupā legī phir āġhosh-e-sahar
phir pazīrā.ī ko aa.egī mahaktī huī shaam
aas thī ai mire mahbūb mirī jān-e-hazīñ
tere anfās kī ḳhushbū se mahak jā.egī
tere altāf-o-ināyāt kī gul-rezī se
bāġh-e-hastī kī tahī-dāmanī Dhak jā.egī
terī āñkhoñ meñ vahī pyaar numāyāñ hogā
tere lahje meñ lagāvaT kī vahī ḳhū hogī
khil uTheñge isī andāz se aariz ke gulāb
terī zulfoñ meñ isī chaah kī ḳhushbū hogī
surḳh-rū hoñge ġham-e-dil ġham-e-daurāñ donoñ
phir vahī daur mohabbat kā palaT aa.egā
tere qadmoñ pe dil-e-zār ke sajde hoñge
terī āñkhoñ meñ vahī pyaar simaT aa.egā
duur hogī ġham-e-ayyām kī taptī huī dhuup
terī zulfoñ kā mahaktā huā saayā hogā
maiñ ne samjhā thā tirī pursish-e-ġham se shāyad
dard kam hogā ġham-e-dil kā mudāvā hogā
kyā ḳhabar thī ki tirā pyaar bhī dhokā hogā
ik zarūrat ne kiyā thā tujhe majbūr-e-vafā
maslahat-sāz tabī.at ko chhupāne ke liye
kar liyā tū ne ḳhudā ko bhī mohabbat meñ gavāh
pursish-e-ġham kā to kyā zikr ki is mahfil meñ
maiñ nigāh-e-ġhalat-andāz ke qābil bhī nahīñ
hāsil-e-bazm jise tū ne kabhī samjhā thā
aaj vo jān-e-hazīñ dar-ḳhur-e-mahfil bhī nahīñ
ḳhvāb kyā kyā dil-e-dīvāna ne dekhe the 'niyāz'
kyā bhayānak milī un ḳhvāboñ kī ta.abīr hameñ
ik nayā dard milā ham ko shikast-e-dil kā
ik na.e moḌ pe le aa.ī hai taqdīr hameñ
tera saudai tere pas ba-sad-ijz-o-niyaz
dagh-e-dil apne dikhane ko chala aaya tha
dil pe kya guzri zamane ne sitam kya Dhae
apni rudad sunane ko chala aaya tha
tha yaqin jab dar-e-mahbub pe pahunchenge to phir
chehra-e-zist se dhul jaegi gard-e-alam
apne daman mein chhupa legi phir aaghosh-e-sahar
phir pazirai ko aaegi mahakti hui sham
aas thi ai mere mahbub meri jaan-e-hazin
tere anfas ki KHushbu se mahak jaegi
tere altaf-o-inayat ki gul-rezi se
bagh-e-hasti ki tahi-damani Dhak jaegi
teri aankhon mein wahi pyar numayan hoga
tere lahje mein lagawaT ki wahi KHu hogi
khil uThenge isi andaz se aariz ke gulab
teri zulfon mein isi chah ki KHushbu hogi
surKH-ru honge gham-e-dil gham-e-dauran donon
phir wahi daur mohabbat ka palaT aaega
tere qadmon pe dil-e-zar ke sajde honge
teri aankhon mein wahi pyar simaT aaega
dur hogi gham-e-ayyam ki tapti hui dhup
teri zulfon ka mahakta hua saya hoga
main ne samjha tha teri pursish-e-gham se shayad
dard kam hoga gham-e-dil ka mudawa hoga
kya KHabar thi ki tera pyar bhi dhoka hoga
ek zarurat ne kiya tha tujhe majbur-e-wafa
maslahat-saz tabiat ko chhupane ke liye
kar liya tu ne KHuda ko bhi mohabbat mein gawah
pursish-e-gham ka to kya zikr ki is mahfil mein
main nigah-e-ghalat-andaz ke qabil bhi nahin
hasil-e-bazm jise tu ne kabhi samjha tha
aaj wo jaan-e-hazin dar-KHur-e-mahfil bhi nahin
KHwab kya kya dil-e-diwana ne dekhe the 'niyaz'
kya bhayanak mili un KHwabon ki tabir hamein
ek naya dard mila hum ko shikast-e-dil ka
ek nae moD pe le aai hai taqdir hamein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.