shikasta sipar
mehrbāñ nāzuk ridāoñ kī tahoñ meñ
narm bāhoñ kī panāhoñ meñ hai raqsāñ ye zamīñ
vo ik sipar ban kar
jhulasne se bachā letī haiñ us ko
naġhma-gar saiqal fazā.eñ
sabz resham kī qabā pahne zamīñ
hāthoñ meñ thāme nastaran nargis saman
nāzuk tahoñ meñ
zindagī hai kis qadar mahfūz lekin.......
lahza lahza har parat ma.adūm hotī jā rahī hai!
ek din jab āḳhirī tah kī sipar hogī shikasta
mehrbāñ ozone kī chādar meñ lipTī
ye zamīñ jab be-qabā ho jā.egī to
arġhavānī aag mohlik uñgliyoñ se
us kī shādābī ko apnī aañch meñ jhulsā.e-gī aur
ye dhuāñ ban kar ḳhalāoñ meñ uḌegī......!
mehrban nazuk ridaon ki tahon mein
narm bahon ki panahon mein hai raqsan ye zamin
wo ek sipar ban kar
jhulasne se bacha leti hain us ko
naghma-gar saiqal fazaen
sabz resham ki qaba pahne zamin
hathon mein thame nastaran nargis saman
nazuk tahon mein
zindagi hai kis qadar mahfuz lekin
lahza lahza har parat madum hoti ja rahi hai!
ek din jab aaKHiri tah ki sipar hogi shikasta
mehrban ozone ki chadar mein lipTi
ye zamin jab be-qaba ho jaegi to
arghawani aag mohlik ungliyon se
us ki shadabi ko apni aanch mein jhulsae-gi aur
ye dhuan ban kar KHalaon mein uDegi!
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.