shikwa
bahut pyārī vo lagtī thī
vo jab shikva ye kartī thī
vo kahtī thī
ki tum bārish meñ mat bhīgā karo dekho
ki ye bārish kī būñdeñ
jab tumhāre tan ko chhūtī haiñ
to mujh ko intihā.ī ik jalan mahsūs hotī hai
ki tum jab bhīgte bārish meñ
bāheñ khol kar
āñkhoñ ko apnī band karte ho
to lagtā hai
ki ye būñdeñ churā kar le ga.iiñ tum ko
jab un ke saath hote ho
to mujh ko dekhte kab ho
bahut pyari wo lagti thi
wo jab shikwa ye karti thi
wo kahti thi
ki tum barish mein mat bhiga karo dekho
ki ye barish ki bunden
jab tumhaare tan ko chhuti hain
to mujh ko intihai ek jalan mahsus hoti hai
ki tum jab bhigte barish mein
bahen khol kar
aankhon ko apni band karte ho
to lagta hai
ki ye bunden chura kar le gain tum ko
jab un ke sath hote ho
to mujh ko dekhte kab ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.