shikwe ki sham
ruḳhsat hote sūraj kī kirnoñ kā āñchal thāme thāme
maiñ bhī chhat par jā pahuñchī thī
mire gile-shikve to saare gūñge ban baiThe the
aur merī kuchh kahtī āñkheñ
bāra-darī kī chilman ke hāloñ meñ phañstī thiiñ
phir kyuuñ gaañv se jaate jaate
galī ke moḌ pe rukte rukte
tum ne ūpar, merī jānib dekhā thā
aur tumhārā uThtā haath zarā sā kaañp gayā thā
aur tumhārī raushan raushan āñkheñ bujh sī ga.ī thiiñ
duur ufuq meñ sūraj Duub gayā thā
ruKHsat hote suraj ki kirnon ka aanchal thame thame
main bhi chhat par ja pahunchi thi
mere gile-shikwe to sare gunge ban baiThe the
aur meri kuchh kahti aankhen
bara-dari ki chilman ke haalon mein phansti thin
phir kyun ganw se jate jate
gali ke moD pe rukte rukte
tum ne upar, meri jaanib dekha tha
aur tumhaara uThta hath zara sa kanp gaya tha
aur tumhaari raushan raushan aankhen bujh si gai thin
dur ufuq mein suraj Dub gaya tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.