shimle ki rail-gaDi
solan kī choTiyoñ se
jhanḌī hilā rahī hai
ġhusse meñ be-tahāshā
siiTī bajā rahī hai
dekho vo aa rahī hai
shimle kī rail-gāḌī
do enginoñ ke muñh se
sho.ale nikal rahe haiñ
do naag mil ke goyā
dozaḳh ugal rahe haiñ
āñkheñ dikhā rahī hai
shimle kī rail-gāḌī
sunsān ghāTiyoñ par
ūñchī pahāḌiyoñ meñ
pathrīlī choTiyoñ par
Tīloñ meñ jhāḌiyoñ meñ
lahrātī aa rahī hai
shimle kī rail-gāḌī
lohe kī ek nāgin
bal khā rahī ho jaise
aur ūñchī choTiyoñ par
lahrā rahī ho jaise
is tarah aa rahī hai
shimle kī rail-gāḌī
ban-bāsiyoñ ko kyā kyā
dil shaad kar rahī hai
sunsān jañgaloñ ko
ābād kar rahī hai
bastī basā rahī hai
shimle kī rail-gāḌī
niklī surañg se yuuñ
juuñ bil se naag nikle
chamkī sire pe jaise
bhaTTī se aag nikle
kyā gul khilā rahī hai
shimle kī rail-gāḌī
solan ki choTiyon se
jhanDi hila rahi hai
ghusse mein be-tahasha
siTi baja rahi hai
dekho wo aa rahi hai
shimle ki rail-gaDi
do enginon ke munh se
shoale nikal rahe hain
do nag mil ke goya
dozaKH ugal rahe hain
aankhen dikha rahi hai
shimle ki rail-gaDi
sunsan ghaTiyon par
unchi pahaDiyon mein
pathrili choTiyon par
Tilon mein jhaDiyon mein
lahraati aa rahi hai
shimle ki rail-gaDi
lohe ki ek nagin
bal kha rahi ho jaise
aur unchi choTiyon par
lahra rahi ho jaise
is tarah aa rahi hai
shimle ki rail-gaDi
ban-basiyon ko kya kya
dil shad kar rahi hai
sunsan jangalon ko
aabaad kar rahi hai
basti basa rahi hai
shimle ki rail-gaDi
nikli surang se yun
jun bil se nag nikle
chamki sire pe jaise
bhaTTi se aag nikle
kya gul khila rahi hai
shimle ki rail-gaDi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.