shitab
jab raat bhiig jaatī hai
to us kā nam
kor-basar ḳhvāboñ ke sūkhe laboñ tak pahuñchtā hai
aur tishna-kām ḳhvāboñ kā dam TūTne se zarā pahle
un ko zindagī kī naved sunātā hai
ḳhvāb jab maut ke dahāne se palaT kar aate haiñ
to zindagī un ke rag-o-pai meñ sur.at se dauḌtī hai
mahmez-e-shauq meñ vo apnī be-basarī ko farāmosh kiye
tez-raftārī kī āḳhirī mumkina had ko chhūte hue
ta.abīr kī manzil tak pahuñchnā chāhte haiñ
maut kā saham un ke a.asāb shal kiye detā hai
be-basarī unheñ nazar nazar bhaTkātī hai
zindagī kī be-sabātī kā ḳhauf
dev-haikal jallād kī sūrat mujassam ho kar
un kī shāh-rag dabochne ke darpe hotā hai
vo jānte haiñ
ki chaah kar bhī is giraft se
der tak aur duur tak āzād nahīñ rah sakte
usī ḳhauf ke zer-e-asar
mayassar vaqt meñ
vo sadiyoñ ko lamhoñ meñ jī lenā chāhte haiñ
aur lamhoñ se sadiyāñ kashīd karnā chāhte haiñ
jab raat bhig jati hai
to us ka nam
kor-basar KHwabon ke sukhe labon tak pahunchta hai
aur tishna-kaam KHwabon ka dam TuTne se zara pahle
un ko zindagi ki nawed sunata hai
KHwab jab maut ke dahane se palaT kar aate hain
to zindagi un ke rag-o-pai mein surat se dauDti hai
mahmez-e-shauq mein wo apni be-basari ko faramosh kiye
tez-raftari ki aaKHiri mumkina had ko chhute hue
tabir ki manzil tak pahunchna chahte hain
maut ka saham un ke aasab shal kiye deta hai
be-basari unhen nazar nazar bhaTkati hai
zindagi ki be-sabaati ka KHauf
dew-haikal jallad ki surat mujassam ho kar
un ki shah-rag dabochne ke darpe hota hai
wo jaante hain
ki chah kar bhi is giraft se
der tak aur dur tak aazad nahin rah sakte
usi KHauf ke zer-e-asar
mayassar waqt mein
wo sadiyon ko lamhon mein ji lena chahte hain
aur lamhon se sadiyan kashid karna chahte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.