shiw ki jaTa
maiñ ne maazī ke khañDar meñ jhāñkā
haal kī dhañstī huī ret pe sargardāñ rahā
aur ab DhūñD rahā huuñ ki dhuñdalkoñ meñ kahāñ hai fardā
mere ehsās ke tapte hue sahrāoñ meñ
ek bhī buuñd nahīñ shabnam kī
kitne ḳhvāboñ ke gharauñde TuuTe
kitne sapnoñ ke jazīre Duube
māh-o-sāl aate rahe
jaate rahe
thapkiyāñ de ke sulāte rahe
jazboñ ko mire
vādī-e-mauhūm meñ pahuñchāte rahe
hichkiyāñ letī rahī hasrat-e-dariyā-talabī
roz-o-shab aag kī lapToñ se guzartī hī rahī tishna-labī
kohkan phir sar-e-kohsār na uTThā koī
jū-e-kam-āb bhī afsāna-e-mauhūm banī
vo tamāzat kī sadī aa.ī
ki har samt ubalne lagī jaltī huī ret
ruk ga.iiñ ThanDī havā kī sāñseñ
pankh bhī uudī ghaTāoñ ke jale
shiv kī jaTā suukh ga.ī
main ne mazi ke khanDar mein jhanka
haal ki dhansti hui ret pe sargardan raha
aur ab DhunD raha hun ki dhundalkon mein kahan hai farda
mere ehsas ke tapte hue sahraon mein
ek bhi bund nahin shabnam ki
kitne KHwabon ke gharaunde TuTe
kitne sapnon ke jazire Dube
mah-o-sal aate rahe
jate rahe
thapkiyan de ke sulate rahe
jazbon ko mere
wadi-e-mauhum mein pahunchate rahe
hichkiyan leti rahi hasrat-e-dariya-talabi
roz-o-shab aag ki lapTon se guzarti hi rahi tishna-labi
kohkan phir sar-e-kohsar na uTTha koi
ju-e-kam-ab bhi afsana-e-mauhum bani
wo tamazat ki sadi aai
ki har samt ubalne lagi jalti hui ret
ruk gain ThanDi hawa ki sansen
pankh bhi udi ghaTaon ke jale
shiw ki jaTa sukh gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.