shoala-e-hina
ye raat mash.al-e-armāñ jalāne aa.ī hai
magar nazar meñ añdherā sā chhā rahā hai kyoñ
vo ġham-kada jise Thukrā diyā mohabbat ne
bhulā rahī huuñ magar yaad aa rahā hai kyoñ
ye kāmyāb irāde ye muzmahil lamhe
ye aaj ziist meñ āḳhir tazād kaisā hai
hujūm-e-kaif meñ bhī ruuh be-qarār hai kyoñ
ye iztirāb-e-dil-e-nā-murād kaisā hai
qarīb-o-dūr musallat hai ḳhāmushī lekin
fazāoñ meñ kisī tūfāñ kā shor barpā hai
ye raat hai ki qayāmat ye tīrgī hai ki maut
charāġh jal to ga.e haiñ magar añdherā hai
ġham-e-hayāt kī parchhā.iyoñ se Darnā kyā
maiñ zindagī ke na.e ḳhvāb bun ke aa.ī huuñ
ab us dayār meñ vāpas bhī ho nahīñ saktī
ki apnī pusht pe dīvār chun ke aa.ī huuñ
laboñ pe mauj-e-tabassum hai dil meñ gard-e-malāl
maiñ ḳhush to huuñ magar āñkhoñ se ashk bahte haiñ
mirī udaas javānī ne mujh se pūchhā hai
suhāg raat isī bebasī ko kahte haiñ
na baap bhaa.ī ke hoñToñ pe aa.ī koī duā
na maañ ne pyaar se ruḳhsat kiyā gale mil ke
hatheliyoñ meñ hai mehñdī na maañg meñ afshāñ
machal ke rah ga.e siine meñ valvale dil ke
rah-e-hayāt ke sāthī tirā sahārā hai
mirī vafā mirī jur.at kī aabrū rakhnā
tire liye maiñ zamāne ko chhoḌ baiThī huuñ
mire ġhurūr-e-mohabbat kī aabrū rakhnā
ye raat mashal-e-arman jalane aai hai
magar nazar mein andhera sa chha raha hai kyon
wo gham-kada jise Thukra diya mohabbat ne
bhula rahi hun magar yaad aa raha hai kyon
ye kaamyab irade ye muzmahil lamhe
ye aaj zist mein aaKHir tazad kaisa hai
hujum-e-kaif mein bhi ruh be-qarar hai kyon
ye iztirab-e-dil-e-na-murad kaisa hai
qarib-o-dur musallat hai KHamushi lekin
fazaon mein kisi tufan ka shor barpa hai
ye raat hai ki qayamat ye tirgi hai ki maut
charagh jal to gae hain magar andhera hai
gham-e-hayat ki parchhaiyon se Darna kya
main zindagi ke nae KHwab bun ke aai hun
ab us dayar mein wapas bhi ho nahin sakti
ki apni pusht pe diwar chun ke aai hun
labon pe mauj-e-tabassum hai dil mein gard-e-malal
main KHush to hun magar aankhon se ashk bahte hain
meri udas jawani ne mujh se puchha hai
suhag raat isi bebasi ko kahte hain
na bap bhai ke honTon pe aai koi dua
na man ne pyar se ruKHsat kiya gale mil ke
hatheliyon mein hai mehndi na mang mein afshan
machal ke rah gae sine mein walwale dil ke
rah-e-hayat ke sathi tera sahaara hai
meri wafa meri jurat ki aabru rakhna
tere liye main zamane ko chhoD baiThi hun
mere ghurur-e-mohabbat ki aabru rakhna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.