siDhi
jahāñ maiñ huuñ
vahāñ
vaqt
ek ūñchī pahāḌī par chaḌh kar baiTh gayā hai
use
mere lafz bhī
jo kashtī meñ ladī huī kitāboñ ke
hukmrāñ haiñ
abhī tak
nīche nahīñ utaar sake
merā din
apne haath meñ ek lāThī liye chal rahā hai
raat
sūraj ke saath savāloñ ko
puurā karne ke liye nikal ga.ī hai
aur maiñ
niiñd meñ chaltā huā
apne aap ko
āsmān meñ dafn kar aatā huuñ
jāgtā huuñ to phir
ḳhud ko zamīn ke ḳhol hī meñ paatā huuñ
jab mere lafz
vaqt ko
pahāḌī se nīche utaar leñge
merī jaḌeñ
saat samundar tak phail jā.eñgī
aur maiñ
apne hī lafzoñ se
ek aisī sīḌhī banā lūñgā
jo zamīn se āsmān tak pahuñchtī hai
jahan main hun
wahan
waqt
ek unchi pahaDi par chaDh kar baiTh gaya hai
use
mere lafz bhi
jo kashti mein ladi hui kitabon ke
hukmran hain
abhi tak
niche nahin utar sake
mera din
apne hath mein ek laThi liye chal raha hai
raat
suraj ke sath sawalon ko
pura karne ke liye nikal gai hai
aur main
nind mein chalta hua
apne aap ko
aasman mein dafn kar aata hun
jagta hun to phir
KHud ko zamin ke KHol hi mein pata hun
jab mere lafz
waqt ko
pahaDi se niche utar lenge
meri jaDen
sat samundar tak phail jaengi
aur main
apne hi lafzon se
ek aisi siDhi bana lunga
jo zamin se aasman tak pahunchti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.