sina-e-KHwab khule
sīna-e-ḳhvāb khule
jis tarah pyaar meñ Duubī huī āñkhoñ pe laraztī huī
palkoñ kā nasha khultā hai
jis tarah band kitāboñ pe kisī phuul ke khulne kā gumāñ khultā hai
jis tarah haath kī poroñ pe kabhī
pahle pahle se kisī tajraba-e-lams-e-mohabbat kā asar khultā hai
sīna-e-ḳhvāb khule
sīna-e-ḳhvāb khule aur meñ dekhūñ vo kam-āsār javānī kā ḳhumār
vahī hairat jise maiñ ne faqat ek saañs kī Dorī
meñ piro lene kī ḳhvāhish kī thī
vo tazabzub ki jise kam-sin-o-kam-ḳhvāb' nigāhoñ ke bharose ne
gulāb aur chamelī kī mahak baḳhshī thī
murta.ish hoñToñ pe mauhūm tabassum kā vo ehsās jise
harf-o-āvāz baġhair
ka.aba-e-dil ne tire chehra-e-gulfām pe mab.ūs kiyā
aur phir merī nigāhoñ kī taraf
tere āġhāz ko bedār kiyā
ai suḳhan-sāz nigāhoñ vaale
vaqt ne umr-e-guzishta ke ka.ī baab likhe
aur har baab kī dahlīz kisī ḳhvāb-e-muqaffal kī tarah gum-sum hai
koī dastak koī āvāz koī harf-e-sabā
koī tadbīr ki is lamha-e-maujūd ke mar jaane se pahle pahle
kaash is ḳhvāb-e-muqaffal kā bhī siina khul jaa.e
aur maiñ dekh sakūñ
tere mauhūm tabassum kī kahānī kā havāla kyā thā
aur ab mujh se gunahgār-e-mohabbat kī tabāhī kā izāla kyā hai
sina-e-KHwab khule
jis tarah pyar mein Dubi hui aankhon pe larazti hui
palkon ka nasha khulta hai
jis tarah band kitabon pe kisi phul ke khulne ka guman khulta hai
jis tarah hath ki poron pe kabhi
pahle pahle se kisi tajraba-e-lams-e-mohabbat ka asar khulta hai
sina-e-KHwab khule
sina-e-KHwab khule aur mein dekhun wo kam-asar jawani ka KHumar
wahi hairat jise main ne faqat ek sans ki Dori
mein piro lene ki KHwahish ki thi
wo tazabzub ki jise kam-sin-o-kam-KHwab' nigahon ke bharose ne
gulab aur chameli ki mahak baKHshi thi
murtaish honTon pe mauhum tabassum ka wo ehsas jise
harf-o-awaz baghair
kaba-e-dil ne tere chehra-e-gulfam pe mabus kiya
aur phir meri nigahon ki taraf
tere aaghaz ko bedar kiya
ai suKHan-saz nigahon wale
waqt ne umr-e-guzishta ke kai bab likhe
aur har bab ki dahliz kisi KHwab-e-muqaffal ki tarah gum-sum hai
koi dastak koi aawaz koi harf-e-saba
koi tadbir ki is lamha-e-maujud ke mar jaane se pahle pahle
kash is KHwab-e-muqaffal ka bhi sina khul jae
aur main dekh sakun
tere mauhum tabassum ki kahani ka hawala kya tha
aur ab mujh se gunahgar-e-mohabbat ki tabahi ka izala kya hai
- Book : Muntakhab Shahkar Nazmon Ka Album) (Pg. 473)
- Author : Munavvar Jameel
- Publication : Haji Haneef Printer Lahore (2000)
- Edition : 2000
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.