silsila-e-mukalimat-e-KHud-kalami
kab se is ātish-e-nafas kā
ye dabistān-e-qadīm
chal rahā thā nā-gahāñ
niklā natīja
imtihān ilm-e-asmā kā
tabhī se
rah ga.ī ho kar muqaffal ye imārat
aur chhuTTī par moallim
apne hujre meñ muqīm
ādam-e-ḳhākī kī paidā.ish se pahle
jin kā kahnā thā zamīñ par
ḳhuun bahā.egā ye nāhaq
aur machā.egā fasād
ab vahī peshengo umīd-vār
is ke gun gaate hue thakte nahīñ
imtihān-gāh-e-muqaddar ho to aisī
jis meñ pur-tāb-o-tavāñ ham
kār-pardāzān-e-fitrat lā-javāb
aur aadam us kī tīnat meñ to goyā
hal-shuda pahle se the saare savāl
jin mazāhir kī taraf dekhā nazar bhar kar
ma.ānī ke damak aThe unhīñ meñ muzmirāt
hikmat-e-ashyā ke sāñche meñ Dhalī
be-sāḳhta ism-āfrīnī marhabā
ḳhāk-e-be-miqdār ke zarrāt meñ
jauhar-e-nutq-o-bayāñ aisā bhī maḳhfī hai
kise ma.alūm thā
imtihāñ ḳhatm
aur masjūd-e-malā.ik ban ga.ī insāñ kī zaat
maiñ ne lekin sheva-e-inkār apnāyā
ki maiñ ātish-e-nihād
martabe meñ ḳhāk-e-uftāda se bartar
asl meñ vaalā guhar
chāhe aflāk-o-zamīn par
phail kar chhā jaa.e ye musht-e-ġhubār
harba tasḳhīr lekin kārgar mujh par bhī ho is kā
yahī ik marhala hai ma.arke kā
imtihāñ ye saḳht-tar hai
kāmyābī is meñ bhī paa.e yahī
umīd-vār ḳhush-gumāñ
āsāñ nahīñ
merī apnī ik luġhat hai
jis meñ asmā ke ma.ānī bār-bār
ik na.ī ta.abīr ke ā.īna-dār
mansab-e-āzādgī aadam kā
ik parvāna-e-ġhārat-garī
is meñ likhā hai
aur āgāhī
tabāhī ke vasā.el tak rasā.ī kā javāz
is meñ chhapā hai
al-ġharaz is khel kā mohara vahī
ilm-e-asmā hai magar
ik pur-fusūñ taqlīb-kārī kā shikār
ik pur-fusūñ taqlīb-kārī kā shikār
kab se is aatish-e-nafas ka
ye dabistan-e-qadim
chal raha tha na-gahan
nikla natija
imtihan ilm-e-asma ka
tabhi se
rah gai ho kar muqaffal ye imarat
aur chhuTTi par moallim
apne hujre mein muqim
aadam-e-KHaki ki paidaish se pahle
jin ka kahna tha zamin par
KHun bahaega ye nahaq
aur machaega fasad
ab wahi peshengo umid-war
is ke gun gate hue thakte nahin
imtihan-gah-e-muqaddar ho to aisi
jis mein pur-tab-o-tawan hum
kar-pardazan-e-fitrat la-jawab
aur aadam us ki tinat mein to goya
hal-shuda pahle se the sare sawal
jin mazahir ki taraf dekha nazar bhar kar
maani ke damak aThe unhin mein muzmiraat
hikmat-e-ashya ke sanche mein Dhali
be-saKHta ism-afrini marhaba
KHak-e-be-miqdar ke zarraat mein
jauhar-e-nutq-o-bayan aisa bhi maKHfi hai
kise malum tha
imtihan KHatm
aur masjud-e-malaik ban gai insan ki zat
main ne lekin shewa-e-inkar apnaya
ki main aatish-e-nihad
martabe mein KHak-e-uftada se bartar
asl mein wala guhar
chahe aflak-o-zamin par
phail kar chha jae ye musht-e-ghubar
harba tasKHir lekin kargar mujh par bhi ho is ka
yahi ek marhala hai marke ka
imtihan ye saKHt-tar hai
kaamyabi is mein bhi pae yahi
umid-war KHush-guman
aasan nahin
meri apni ek lughat hai
jis mein asma ke maani bar-bar
ek nai tabir ke aaina-dar
mansab-e-azadgi aadam ka
ek parwana-e-ghaarat-gari
is mein likha hai
aur aagahi
tabahi ke wasael tak rasai ka jawaz
is mein chhapa hai
al-gharaz is khel ka mohara wahi
ilm-e-asma hai magar
ek pur-fusun taqlib-kari ka shikar
ek pur-fusun taqlib-kari ka shikar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.