sirf shabnam se nahin bujhti pyas
phuul ne ishq kiyā titlī se
aur titlī thī ki mañDrātī rahī
jaane kyā soch ke ghabrātī rahī
sochte sochte rafta rafta
zānū-e-gul pe magar baiTh ga.ī
jiine marne kī bhī khaa.ī qasmeñ
phir uḌī lauT ke aa.ī na kabhī
ek din aisā huā
dast-e-gul-chīñ meñ vahī qaid huī
ek sayyād kī vo said huī
aur phir saiñkaḌoñ minnat ke ba.ad
faḌfaḌātī rahī āzād huī
ab to vo baaġh meñ
jaane se bahut Dartī hai
gul pe martī thī
ab bhī martī hai
ik taraf phuul hai pazhmurda udaas
sirf shabnam se nahīñ bujhtī pyaas
phul ne ishq kiya titli se
aur titli thi ki manDraati rahi
jaane kya soch ke ghabraati rahi
sochte sochte rafta rafta
zanu-e-gul pe magar baiTh gai
jine marne ki bhi khai qasmen
phir uDi lauT ke aai na kabhi
ek din aisa hua
dast-e-gul-chin mein wahi qaid hui
ek sayyaad ki wo said hui
aur phir sainkaDon minnat ke baad
faDfaDati rahi aazad hui
ab to wo bagh mein
jaane se bahut Darti hai
gul pe marti thi
ab bhi marti hai
ek taraf phul hai pazhmurda udas
sirf shabnam se nahin bujhti pyas
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.