sitaron ki aawaz
chalte chalte mirī niiñd TuuTī to dekhā
har ik samt tārīk asrār
patthar kī mānind
raste kī dīvār the
phir sitāroñ ne paiġhām-e-rif.at diyā
aur ḳhvāboñ ke jhoñke
mere zehn-e-ma.asūm meñ lahlahāne lage
mere par phaḌphaḌāne lage
phir bhī parvāz ke vāste maiñ ne jumbish jo kī
maiñ ne dekhā ki bechārgī
mere qadmoñ kī zanjīr banñe lagī
maiñ faqat ek be-bāl-o-par
tang-o-tārīk ġhāroñ kā insān thā
phir sitāroñ ne āvāz dī
ye sitāre jo insāñ kī āvāz haiñ
ye sitāre jo insān kī rūh-e-parvāz haiñ
un kī āvāz par maiñ ne jumbish jo kī
merī zanjīr TuuTī
mire devtā mujh se sahme hue
mujh se kuchh duur par dast-basta khaḌe the
maiñ aage baḌhā
merī yalġhār se bahr-o-dasht-o-jabal zar ugalne lage
maiñ bahut ḳhush huā
aur is zar se ik āsmāñ tak pahuñchne kī sīḌhī banāne lagā
ek zarrīñ chamaktā huā zīna-e-āsmānī
aur aage baḌhā
ab mire haath dhartī se uupar fazāoñ meñ lahrā rahe the
magar vo sitāre bahut duur the merā ziina bahut muḳhtasar thā
to phir
maiñ ne inkār ke par lagā kar jo parvāz kī
merā ziina hī mujh se ulajhne lagā
aur ġhāroñ ke vo devtā
tanz se muskurāne lage
phir sitāroñ ne āvāz dī
apne hāthoñ se ḳhud apne ziine ko nīche girā kar baḌhā
maiñ fazā meñ uḌā
aur vo vaqt bhī aa gayā
jab hudūd-e-havā
merī parvāz kī raah meñ ek dīvār sī ban ga.ī
devtā muskurāne lage
phir sitāroñ ne āvāz dī
merī himmat baḌhī
apne ḳhvāboñ kī duniyā sameTe hue
maiñ baḌe azm ke saath dhartī par utrā
ḳhalāoñ meñ parvāz kī
aaj pahlā qadam chāñd par hai magar
haiñ sitāre abhī duur tārīkiyoñ meñ kahīñ jalva-gar
un kī āvāz gītoñ ke sargam meñ bhar lī magar
ab vahī mere paañv kī zanjīr haiñ
ek ziddī sī zanjīr haiñ
devtāoñ ne jis ko banāyā mujhe rokne ke liye
aur sitāroñ ne āvāz dī hai sadā
mere ḳhvāboñ kā lashkar umīdoñ kā sūraj liye
mere gītoñ kī duniyā meñ naġhmoñ ke bādal
par uḌne lagā
aur ye bādal chamakne lage kahkashāñ kī tarah
aur ab devtā
tang-o-tārīk ġhāroñ meñ ḳhud ko chhupāne lage
chalte chalte meri nind TuTi to dekha
har ek samt tarik asrar
patthar ki manind
raste ki diwar the
phir sitaron ne paigham-e-rifat diya
aur KHwabon ke jhonke
mere zehn-e-masum mein lahlahane lage
mere par phaDphaDane lage
phir bhi parwaz ke waste main ne jumbish jo ki
main ne dekha ki bechaargi
mere qadmon ki zanjir banne lagi
main faqat ek be-baal-o-par
tang-o-tarik ghaaron ka insan tha
phir sitaron ne aawaz di
ye sitare jo insan ki aawaz hain
ye sitare jo insan ki ruh-e-parwaz hain
un ki aawaz par main ne jumbish jo ki
meri zanjir TuTi
mere dewta mujh se sahme hue
mujh se kuchh dur par dast-basta khaDe the
main aage baDha
meri yalghaar se bahr-o-dasht-o-jabal zar ugalne lage
main bahut KHush hua
aur is zar se ek aasman tak pahunchne ki siDhi banane laga
ek zarrin chamakta hua zina-e-asmani
aur aage baDha
ab mere hath dharti se upar fazaon mein lahra rahe the
magar wo sitare bahut dur the mera zina bahut muKHtasar tha
to phir
main ne inkar ke par laga kar jo parwaz ki
mera zina hi mujh se ulajhne laga
aur ghaaron ke wo dewta
tanz se muskurane lage
phir sitaron ne aawaz di
apne hathon se KHud apne zine ko niche gira kar baDha
main faza mein uDa
aur wo waqt bhi aa gaya
jab hudud-e-hawa
meri parwaz ki rah mein ek diwar si ban gai
dewta muskurane lage
phir sitaron ne aawaz di
meri himmat baDhi
apne KHwabon ki duniya sameTe hue
main baDe azm ke sath dharti par utra
KHalaon mein parwaz ki
aaj pahla qadam chand par hai magar
hain sitare abhi dur tarikiyon mein kahin jalwa-gar
un ki aawaz giton ke sargam mein bhar li magar
ab wahi mere panw ki zanjir hain
ek ziddi si zanjir hain
dewtaon ne jis ko banaya mujhe rokne ke liye
aur sitaron ne aawaz di hai sada
mere KHwabon ka lashkar umidon ka suraj liye
mere giton ki duniya mein naghmon ke baadal
par uDne laga
aur ye baadal chamakne lage kahkashan ki tarah
aur ab dewta
tang-o-tarik ghaaron mein KHud ko chhupane lage
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.