siyah jhaDiyan ab bhi muntazir hain
yahīñ se guzrā thā
kārvān-e-shīsha-garāñ
tum ko mā'lūm hai pā-shikasta raahī
darāz ūñToñ pe phūTtī shu’ā’eñ
sabz laal niilī rū-pahlī aage
darāz-qad shīshagar sārbāñ
tamkanat se mahār thāme
vo kārvāñ to manzil se jā milā hai
sārbāñ
mahmil pe jalva-afroz haiñ darāz
ūñToñ pe un ke darāz-qad
ab darāz-tar haiñ
matā'-e-shīsha-garī
chūr-chūr bikhrī hai rāhoñ meñ
reza-reza
havā meñ tahlīl ho ga.ī hai
udaas raahī
tum jo pā-barahna nikle the dhartī ke lams kī aarzū meñ
chanchal havā kī āġhosh meñ zindagī kī asaas paane
dekho
tumhāre qadam lahūluhān haiñ havā ke bose tumhāre
tishna-laboñ ko majrūh kar rahe haiñ
vo kaun haiñ kyā tumhāre sāthī haiñ vo jinhoñ ne
us shāhrāh se zarā haT kar rangīn plastic ke
ḳheme lagā liye haiñ vo kaun haiñ jo plastic ke
dabīz malbūs meñ plastic kī naqābeñ juute
is dhaj se zaḳhmī zamīn ke siine par gāmzan haiñ
shikasta raahī
jo ho sake to pāgal havā se pūchho
siyāh jhāḌiyoñ meñ kitne figār jism
vo sab jo nikle the dhartī ke lams kī aarzū meñ
jo ho sake to zaḳhmī havā ke siine pe ab
yā figār dhartī pe apne lahū se tum apnā naam likh do
siyāh jhāḌiyāñ ab bhī muntazir haiñ
yahin se guzra tha
karwan-e-shisha-garan
tum ko ma'lum hai pa-shikasta rahi
daraaz unTon pe phuTti shu’a’en
sabz lal nili ru-pahli aage
daraaz-qad shishagar sarban
tamkanat se mahaar thame
wo karwan to manzil se ja mila hai
sarban
mahmil pe jalwa-afroz hain daraaz
unTon pe un ke daraaz-qad
ab daraaz-tar hain
mata'-e-shisha-gari
chur-chur bikhri hai rahon mein
reza-reza
hawa mein tahlil ho gai hai
udas rahi
tum jo pa-barahna nikle the dharti ke lams ki aarzu mein
chanchal hawa ki aaghosh mein zindagi ki asas pane
dekho
tumhaare qadam lahuluhan hain hawa ke bose tumhaare
tishna-labon ko majruh kar rahe hain
wo kaun hain kya tumhaare sathi hain wo jinhon ne
us shahrah se zara haT kar rangin plastic ke
KHeme laga liye hain wo kaun hain jo plastic ke
dabiz malbus mein plastic ki naqaben jute
is dhaj se zaKHmi zamin ke sine par gamzan hain
shikasta rahi
jo ho sake to pagal hawa se puchho
siyah jhaDiyon mein kitne figar jism
wo sab jo nikle the dharti ke lams ki aarzu mein
jo ho sake to zaKHmi hawa ke sine pe ab
ya figar dharti pe apne lahu se tum apna nam likh do
siyah jhaDiyan ab bhi muntazir hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.