siyasat
jab ham chhoTe chhoTe se the
ham-sā.e meñ ek baḌī bī rahtī thī
galī mahle ke sab bachche us ko maasī kahte the
maasī kī ik ajab adā thī
galī mahle ke jis bachche par bhī us kā daav chaltā
mukkoñ aur dhamkoñ se
adh-muā sā kar ke ḳhud chhup jaatī
fariyādī bachche kī āh-o-zārī san kar
rasta chalne vaale yā bachche ke apne aa jaate to
majma.a chiir ke sab se pahle maasī aatī
rone vaale bachche ko siine se lagātī
shahd bhare lamhe meñ kahtī
mere pyāre
aañkh ke taare
kis ne maarā
bachcha phaTī phaTī āñkhoñ se
maasī ko taktā rah jaatā
aur qissa ThanDā ho jaatā
ham sab bachche
nā-samjhī meñ
maasī se nafrat karte the
mūrakh the nā
maasī ke aslī qad ko pahchān na paa.e
ab jā kar ye samajh sake haiñ
ghar ghar bartan māñjhne vaalī apnī maasī
kitnī baḌī siyāsat-dāñ thī
jab hum chhoTe chhoTe se the
ham-sae mein ek baDi bi rahti thi
gali mahle ke sab bachche us ko masi kahte the
masi ki ek ajab ada thi
gali mahle ke jis bachche par bhi us ka daw chalta
mukkon aur dhamkon se
adh-mua sa kar ke KHud chhup jati
fariyaadi bachche ki aah-o-zari san kar
rasta chalne wale ya bachche ke apne aa jate to
majma chir ke sab se pahle masi aati
rone wale bachche ko sine se lagati
shahd bhare lamhe mein kahti
mere pyare
aankh ke tare
kis ne mara
bachcha phaTi phaTi aankhon se
masi ko takta rah jata
aur qissa ThanDa ho jata
hum sab bachche
na-samjhi mein
masi se nafrat karte the
murakh the na
masi ke asli qad ko pahchan na pae
ab ja kar ye samajh sake hain
ghar ghar bartan manjhne wali apni masi
kitni baDi siyasat-dan thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.