snowman
shahr ke khelte kūdte nanhe munne se bachchoñ ne mil kar mujhe
barf kī ik pahāḌī se kaaTā
tarāshā
mire haath paañv sajā.e
mujhe barf ke chhoTe chhoTe se goloñ se mazbūt kar ke
baḌe pyaar se
ek chaurāhe pe lā kar khaḌā kar diyā
mujh se kuchh der aThkheliyāñ
dil-lagī kā bahāna banīñ
aur phir
jaane kyuuñ
chand bachchoñ ke abrū uThe
shor-o-ġhauġhā huā
mere sar mere paañv mire jism ke
chand gole bane
aur goloñ ko bachchoñ ne ma.asūm hāthoñ se ḳhud
ek ik kar ke uḌtī havā ke havāle kiyā
shahr ke khelte kudte nanhe munne se bachchon ne mil kar mujhe
barf ki ek pahaDi se kaTa
tarasha
mere hath panw sajae
mujhe barf ke chhoTe chhoTe se golon se mazbut kar ke
baDe pyar se
ek chaurahe pe la kar khaDa kar diya
mujh se kuchh der aThkheliyan
dil-lagi ka bahana banin
aur phir
jaane kyun
chand bachchon ke abru uThe
shor-o-ghaugha hua
mere sar mere panw mere jism ke
chand gole bane
aur golon ko bachchon ne masum hathon se KHud
ek ek kar ke uDti hawa ke hawale kiya
- Book : Samandar Aur Jazeere (Pg. 109)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.