soch rahi hun
gūñgī hotī huī ḳhāmoshī
sannāTe kī dahlīz pakaḌ kar
jaane kab tak jamī rahegī
maiñ vo lafz hī bhuul aa.ī huuñ
raste meñ hī girā aa.ī huuñ
jo tum se milne aa.e the
jānte ho tum
lafz mirī dhaḌkan the us pal
siine meñ ik hashr bapā thā
surḳhī kā pairāhan oḌhe
mere sajīle lafz vo saare
sapnoñ ke rañgīn mahal meñ
rahne ko be-tāb bahut the
tum shāyad kuchh kah do un se
ik ma.asūm sī ḳhvāhish le kar
paas tumhāre aa baiThe the
lekin
tum ne jaan hī le lī un kī
jīte-jāgte lafz vo saare
zard paḌe bas takte rah ga.e
aur phir is par
sard barf sā lahja tumhārā
lafz to jaise marne lage the
dil kī dhaḌkan ruk sī ga.ī thī
sard paḌtī vo lāsheñ un kī
jis pal maiñ ne sameTī thiiñ
vīrāñ hote siine meñ
un kī qabreñ khodī thiiñ
aur unheñ dafnāyā thā
jis siine meñ hashr bapā thā
ab sannāTe gūñjte haiñ
maiñ chup le kar aa.ī huuñ
rose larazte hāthoñ se
ashkoñ meñ ik bhīgī huī
chādar un pe chaḌhātī huuñ
soch rahī huuñ
gūñgī hotī huī ḳhāmoshī
sannāTe kī dahlīz pakaḌ kar
jaane kab tak jamī rahegī
gungi hoti hui KHamoshi
sannaTe ki dahliz pakaD kar
jaane kab tak jami rahegi
main wo lafz hi bhul aai hun
raste mein hi gira aai hun
jo tum se milne aae the
jaante ho tum
lafz meri dhaDkan the us pal
sine mein ek hashr bapa tha
surKHi ka pairahan oDhe
mere sajile lafz wo sare
sapnon ke rangin mahal mein
rahne ko be-tab bahut the
tum shayad kuchh kah do un se
ek masum si KHwahish le kar
pas tumhaare aa baiThe the
lekin
tum ne jaan hi le li un ki
jite-jagte lafz wo sare
zard paDe bas takte rah gae
aur phir is par
sard barf sa lahja tumhaara
lafz to jaise marne lage the
dil ki dhaDkan ruk si gai thi
sard paDti wo lashen un ki
jis pal main ne sameTi thin
viran hote sine mein
un ki qabren khodi thin
aur unhen dafnaya tha
jis sine mein hashr bapa tha
ab sannaTe gunjte hain
main chup le kar aai hun
rose larazte hathon se
ashkon mein ek bhigi hui
chadar un pe chaDhati hun
soch rahi hun
gungi hoti hui KHamoshi
sannaTe ki dahliz pakaD kar
jaane kab tak jami rahegi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.