soKHta jism ka libas
libās jal kar mire badan par chipak gayā hai
badan musalsal sulag rahā hai
kahīñ kahīñ bhūle bhaTke sho.ale
uThā ke lau sar kī ab bhī
bāhar ko jhūlte haiñ
jinheñ maiñ apnī
jalī hathelī kī pusht se ḳhud dabā rahā huuñ
alaav se bāhar aa ke
dahshat-zada nigāhoñ se dekhtā huuñ
kahīñ se ab ambulance aa.egī merī jānib
koī masīhā-nafas sambhālegā aage baḌh kar
magar yahāñ to
koī masīhā-nafas nahīñ hai
maiñ chīḳhtā huuñ koī to hogā
koī to be-iḳhtiyār merī taraf bhī aa.e
badan se chimTī qabā ko ḳhud hī
bachī khuchī uñgliyoñ kī poroñ
se chhū ke mahsūs kar rahā huuñ
ki jism hai yā jalā huā pairahan hai merā
jo merī miTTī meñ dhañs rahā hai
aziyyatoñ kī gavāhī detā hai ḳhaliya ḳhaliya
jakaḌ chukā huuñ maiñ is kī partoñ meñ chāhtā huuñ
ki khīñch Dālūñ
utaar pheñkūñ ise magar ab
ise utārūñ
to khaal merī hī khīñch legā
aur in sulagtī
bachī khuchī uñgliyoñ kī poroñ se nāḳhunoñ se
kurednā bhī nahīñ hai bas meñ
jo pairahan thā
vo pairahan ab mirā qafas hai
jo pairahan thā
vo pairahan ab mirā badan hai
libas jal kar mere badan par chipak gaya hai
badan musalsal sulag raha hai
kahin kahin bhule bhaTke shoale
uTha ke lau sar ki ab bhi
bahar ko jhulte hain
jinhen main apni
jali hatheli ki pusht se KHud daba raha hun
alaw se bahar aa ke
dahshat-zada nigahon se dekhta hun
kahin se ab ambulance aaegi meri jaanib
koi masiha-nafas sambhaalega aage baDh kar
magar yahan to
koi masiha-nafas nahin hai
main chiKHta hun koi to hoga
koi to be-iKHtiyar meri taraf bhi aae
badan se chimTi qaba ko KHud hi
bachi khuchi ungliyon ki poron
se chhu ke mahsus kar raha hun
ki jism hai ya jala hua pairahan hai mera
jo meri miTTi mein dhans raha hai
aziyyaton ki gawahi deta hai KHaliya KHaliya
jakaD chuka hun main is ki parton mein chahta hun
ki khinch Dalun
utar phenkun ise magar ab
ise utarun
to khaal meri hi khinch lega
aur in sulagti
bachi khuchi ungliyon ki poron se naKHunon se
kuredna bhi nahin hai bas mein
jo pairahan tha
wo pairahan ab mera qafas hai
jo pairahan tha
wo pairahan ab mera badan hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.