solah december
har saal december meñ
maiñ aksar sochtā thā
kyoñ ġhunche khilne se katrāne lagte haiñ
kyoñ koñpal meñ ḳhushbū sahmī huī rahtī hai
kyoñ bād-e-bahārī bhī rūThī huī rahtī hai
kyoñ patjhaḌ kā mausam lāhaq ho jaatā hai
koyal ḳhāmosh hai kyoñ
kis sog meñ rahtī hai
titlī ojhal hai kyoñ
kis rog meñ rahtī hai
imsāl maiñ samjhā huuñ
kyoñ hijr-gazīda se rahte the sabhī manzar
ik aisā december bhī taqdīr meñ likkhā thā
maiñ ne tujhe ronā thā
maiñ ne tujhe khonā thā
har sal december mein
main aksar sochta tha
kyon ghunche khilne se katrane lagte hain
kyon konpal mein KHushbu sahmi hui rahti hai
kyon baad-e-bahaari bhi ruThi hui rahti hai
kyon patjhaD ka mausam lahaq ho jata hai
koyal KHamosh hai kyon
kis sog mein rahti hai
titli ojhal hai kyon
kis rog mein rahti hai
imsal main samjha hun
kyon hijr-gazida se rahte the sabhi manzar
ek aisa december bhi taqdir mein likkha tha
main ne tujhe rona tha
main ne tujhe khona tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.