sone se pahle ek KHayal
mujhe november kī dhuup kī tarah mat chāho
ki is meñ Duubo to tamāzat meñ nahā jaao
aur is se alag ho to
ThanDak ko por por meñ utartā dekho
mujhe sāvan ke bādal kī tarah chāho
ki us kā saaya bahut gahrā
nas nas meñ pyaas bujhāne vaalā
magar us kā vajūd pal meñ havā
pal meñ paanī kā Dher
mujhe shaam kī shafaq kī tarah mat chāho
ki āsmān ke qurmuzī rañgoñ kī tarah
mere gaal surḳh
magar lamha-bhar ba.ad
hijr meñ nahā kar, raat sī mailī mailī
mujhe chaltī havā kī tarah mat chāho
ki jis ke qayām se dam ghuTtā hai
aur jis kī tez-ravī qadam ukheḌ detī hai
mujhe Thahre paanī kī tarah mat chāho
ki maiñ is meñ kañval ban ke nahīñ rah saktī huuñ
mujhe bas itnā chāho
ki mujh meñ chāhe jaane kī ḳhvāhish jaag uThe!
mujhe nowember ki dhup ki tarah mat chaho
ki is mein Dubo to tamazat mein naha jao
aur is se alag ho to
ThanDak ko por por mein utarta dekho
mujhe sawan ke baadal ki tarah chaho
ki us ka saya bahut gahra
nas nas mein pyas bujhane wala
magar us ka wajud pal mein hawa
pal mein pani ka Dher
mujhe sham ki shafaq ki tarah mat chaho
ki aasman ke qurmuzi rangon ki tarah
mere gal surKH
magar lamha-bhar baad
hijr mein naha kar, raat si maili maili
mujhe chalti hawa ki tarah mat chaho
ki jis ke qayam se dam ghuTta hai
aur jis ki tez-rawi qadam ukheD deti hai
mujhe Thahre pani ki tarah mat chaho
ki main is mein kanwal ban ke nahin rah sakti hun
mujhe bas itna chaho
ki mujh mein chahe jaane ki KHwahish jag uThe!
- Book : kulliyat dusht-e-qais main laila (Pg. 972)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.