sote mein muskuraate bachche ko dekh kar
tirī maḳhmūr sī muskān abhī dekhī to yaad aayā
mirī muskān par ik din mujhe maañ ne batāyā thā ki chhoTā thā to aksar niiñd meñ maiñ muskurātā thā
(ulūhī uñgliyoñ kī chheḌ kā mīThā tarannum mere lab par raqs kartā thaa)
ki jaise gudgudī ke ik latīf ehsās kī qulqul se merī niiñd hañstī thī
ye guzre kal kā qissa hai, vo guzre kal kī bastī thī
ḳhudā kā aur maañ kā aur bachpan kā zamāna thā
vo jis meñ jī rahā thā maiñ asātīrī zamānoñ kā koī pahlā fasāna thā
ki ahd-e-be-ḳhudā meñ be-amāñ be-sā.ebāñ huuñ maiñ
sau niiñd aatī nahīñ mujh ko, aur aa.e bhī to Dar kī chaap se har ḳhvāb kaañp uTThe
sau marg-e-ḳhvāb kī rut meñ
tirī maḳhmūr sī muskān abhī dekhī to vīrāñ-ḳhāna-e-lab se duā niklī
ḳhudā kī aur terī chheḌ yūñhī umar bhī Thahre
ulūhī uñgliyoñ kā lams daa.im mo'tabar Thahre
tire har ḳhvāb ke us paar ik ḳhvāb-e-digar Thahre
teri maKHmur si muskan abhi dekhi to yaad aaya
meri muskan par ek din mujhe man ne bataya tha ki chhoTa tha to aksar nind mein main muskuraata tha
(uluhi ungliyon ki chheD ka miTha tarannum mere lab par raqs karta tha)
ki jaise gudgudi ke ek latif ehsas ki qulqul se meri nind hansti thi
ye guzre kal ka qissa hai, wo guzre kal ki basti thi
KHuda ka aur man ka aur bachpan ka zamana tha
wo jis mein ji raha tha main asatiri zamanon ka koi pahla fasana tha
ki ahd-e-be-KHuda mein be-aman be-saeban hun main
sau nind aati nahin mujh ko, aur aae bhi to Dar ki chap se har KHwab kanp uTThe
sau marg-e-KHwab ki rut mein
teri maKHmur si muskan abhi dekhi to viran-KHana-e-lab se dua nikli
KHuda ki aur teri chheD yunhi umar bhi Thahre
uluhi ungliyon ka lams daim mo'tabar Thahre
tere har KHwab ke us par ek KHwab-e-digar Thahre
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.