subh-e-ubudiyat
ye sach hai ek zamāna huā ki chehroñ par
na rang hai na damak hai na muskurāhaT hai
ye jāntā huuñ ki hasrat-nasīb sīnoñ meñ
karāhte hue ḳhvāboñ kī tilmilāhaT hai
mujhe ḳhabar hai ki gul-posh shāh-rāhoñ par
lahū kā raqs hai sho.aloñ kī gungunāhaT hai
masāf-e-zīst meñ hai ye sipar bhī ḳhanjar bhī
ajiib chiiz jabīnoñ kī tamtamāhaT hai
na aañkh is se churāo ḳhush-āmdīd kaho
ye sub.h ek na.ī zindagī kī aahaT hai
ye sach hai ek zamana hua ki chehron par
na rang hai na damak hai na muskurahaT hai
ye jaanta hun ki hasrat-nasib sinon mein
karahte hue KHwabon ki tilmilahaT hai
mujhe KHabar hai ki gul-posh shah-rahon par
lahu ka raqs hai shoalon ki gungunahaT hai
masaf-e-zist mein hai ye sipar bhi KHanjar bhi
ajib chiz jabinon ki tamtamahaT hai
na aankh is se churao KHush-amdid kaho
ye subh ek nai zindagi ki aahaT hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.