subh ehsas ki chadar pe
sub.h ehsās kī chādar pe
tabassum ke phuul jā-ba-jā bikhre the
yādoñ kī ḳhushbū meñ
raat guzrī thī baġhal-gīr unhīñ saḌkoñ pe
jin ke donoñ taraf the peḌ gul-mohar ke ka.ī
jism pe Tāñke hue narm se ḳhvāboñ ke phuul
hayā se surḳh magar hañste hue
sub.h ehsās kī chādar kī silvaToñ pe ka.ī
muskurāte hue lamhoñ ne gudgudī kī thī
sub.h ehsās kī chādar pe namī thī aisī
ġhusl ke ba.ad bahut hī hasīñ koī lamha
jism ko pochhe binā leT gayā ho jaise
sub.h ehsās kī chādar kī vo bhīnī ḳhushbū
din ke ik muḳhtasar se hisse tak
ek masrūf saḌak kī girāñ haqīqat meñ
apne hone kā ik ehsās to dilvātī rahī
phir vo traffic kā dhuāñ phir vo shānoñ kī ragaḌ
phir pasīne kī vo bū
rikshe vaale se zarā sī takrār chand sikkoñ ke liye
aur pocket meñ vo jhankār unhīñ sikkoñ kī
ik guzartī huī local bus se kuchh dhuāñ
aur vo diesel kī bū
jism meñ chubhtī huī din kī balā kī garmī
din kī is bhiiḌ meñ bas raah banāne ke liye
bhīnī ḳhushbū kā vo nanhā sā haath
jaane kab chhūT gayā
ye pata bhī na chalā
subh ehsas ki chadar pe
tabassum ke phul ja-ba-ja bikhre the
yaadon ki KHushbu mein
raat guzri thi baghal-gir unhin saDkon pe
jin ke donon taraf the peD gul-mohar ke kai
jism pe Tanke hue narm se KHwabon ke phul
haya se surKH magar hanste hue
subh ehsas ki chadar ki silwaTon pe kai
muskuraate hue lamhon ne gudgudi ki thi
subh ehsas ki chadar pe nami thi aisi
ghusl ke baad bahut hi hasin koi lamha
jism ko pochhe bina leT gaya ho jaise
subh ehsas ki chadar ki wo bhini KHushbu
din ke ek muKHtasar se hisse tak
ek masruf saDak ki giran haqiqat mein
apne hone ka ek ehsas to dilwati rahi
phir wo traffic ka dhuan phir wo shanon ki ragaD
phir pasine ki wo bu
rikshe wale se zara si takrar chand sikkon ke liye
aur pocket mein wo jhankar unhin sikkon ki
ek guzarti hui local bus se kuchh dhuan
aur wo diesel ki bu
jism mein chubhti hui din ki bala ki garmi
din ki is bhiD mein bas rah banane ke liye
bhini KHushbu ka wo nanha sa hath
jaane kab chhuT gaya
ye pata bhi na chala
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.