subh ka git
sub.h ke dhuñdalke meñ tā.eroñ kī parvāzeñ
aa rahī haiñ mil-jul kar zindagī kī āvāzeñ
mere laal zulmat meñ sub.h-e-nau kī aahaT hai
be-ḳhabar ye aañsū bhī ek muskurāhaT hai
haiñ sahar ke hoñToñ par raushnī ke afsāne
terī aql kyā samjhe terī aañkh kyā jaane
muñh añdhere chiḌiyoñ ne mast giit gaa.e kyoñ
naddiyoñ kī maujoñ ke taar jhanjhanā.e kyoñ
din kī bhiiḌ kyoñ aa.ī raat kyoñ akelī hai
kaise tujh ko batlā.ūñ zindagī pahelī hai
aisī ik pahelī jo harf-o-lafz se pahle
kahtī thī ishāroñ meñ kis tarah se jī bahle
is liye bahar-sūrat ruup ban ke aatī hai
chhāñv ban ke aatī thī dhuup ban ke aatī hai

zindagī to paltī hai maut hī ke hāthoñ meñ
kholtā hai aañkh apnī din añdherī rātoñ meñ
haiñ sahar ke hoñToñ par raushnī ke afsāne
terī aql kyā samjhe terī aañkh kyā jaane
subh ke dhundalke mein taeron ki parwazen
aa rahi hain mil-jul kar zindagi ki aawazen
mere lal zulmat mein subh-e-nau ki aahaT hai
be-KHabar ye aansu bhi ek muskurahaT hai
hain sahar ke honTon par raushni ke afsane
teri aql kya samjhe teri aankh kya jaane
munh andhere chiDiyon ne mast git gae kyon
naddiyon ki maujon ke tar jhanjhanae kyon
din ki bhiD kyon aai raat kyon akeli hai
kaise tujh ko batlaun zindagi paheli hai
aisi ek paheli jo harf-o-lafz se pahle
kahti thi ishaaron mein kis tarah se ji bahle
is liye bahar-surat rup ban ke aati hai
chhanw ban ke aati thi dhup ban ke aati hai

zindagi to palti hai maut hi ke hathon mein
kholta hai aankh apni din andheri raaton mein
hain sahar ke honTon par raushni ke afsane
teri aql kya samjhe teri aankh kya jaane
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.