suhani sham thi
suhānī shaam thī dariyā kā ik kinārā thā
ki us ke pyaar kī ḳhushbū meñ din guzārā thā
simaT ga.iiñ thiiñ kabhī dūriyāñ ki ham tum the
na koī ġham na thiiñ majbūriyāñ ki ham tum the
vo merī sāñsoñ se nazdīk-e-jāñ se pyārā thā
suhānī shaam thī dariyā kā ik kinārā thā
vo Dūbtā huā sūraj thā gahre paanī meñ
hasīn moḌ sā aayā thā ik kahānī meñ
kisī ne chāñd mire saath lā utārā thā
suhānī shaam thī dariyā kā ik kinārā thā
ki us ke pyaar kī ḳhushbū meñ din guzārā thā
damak rahe the vo 'āriz hayā ke rangoñ se
ki dil bahār hue the na.ī umangoñ se
vahī qarār thā merā vahī sahārā thā
suhānī shaam thī dariyā kā ik kinārā thā
vafā ke gītoñ se masrūr thī fazā saarī
ki bin piye vahāñ maḳhmūr thī fazā saarī
so mere chāroñ taraf ḳhvāb sā nazārā thā
suhānī shaam thī dariyā kā ik kinārā thā
dhaḌakte dil kī sadā.eñ sunā.ī detī huiiñ
vo yādeñ guzre dinoñ kī duhā.ī detī huiiñ
jo pahlī baar mujhe pyaar se pukārā thā
suhānī shaam thī dariyā kā ik kinārā thā
ki us ke pyaar kī ḳhushbū meñ din guzārā thā
suhani sham thi dariya ka ek kinara tha
ki us ke pyar ki KHushbu mein din guzara tha
simaT gain thin kabhi duriyan ki hum tum the
na koi gham na thin majburiyan ki hum tum the
wo meri sanson se nazdik-e-jaan se pyara tha
suhani sham thi dariya ka ek kinara tha
wo Dubta hua suraj tha gahre pani mein
hasin moD sa aaya tha ek kahani mein
kisi ne chand mere sath la utara tha
suhani sham thi dariya ka ek kinara tha
ki us ke pyar ki KHushbu mein din guzara tha
damak rahe the wo 'ariz haya ke rangon se
ki dil bahaar hue the nai umangon se
wahi qarar tha mera wahi sahaara tha
suhani sham thi dariya ka ek kinara tha
wafa ke giton se masrur thi faza sari
ki bin piye wahan maKHmur thi faza sari
so mere chaaron taraf KHwab sa nazara tha
suhani sham thi dariya ka ek kinara tha
dhaDakte dil ki sadaen sunai deti huin
wo yaaden guzre dinon ki duhai deti huin
jo pahli bar mujhe pyar se pukara tha
suhani sham thi dariya ka ek kinara tha
ki us ke pyar ki KHushbu mein din guzara tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.