sunna chaho to
suno
taaki an-sunī dūsre ko taklīf na de
jo tumhāre lafz haiñ
unheñ qubūl kar lo
jaise
lafz ek bahte rishte meñ bañdhe hote haiñ
vaise
ye mārūz kī sachchā.iyoñ ke gird
mahīn dhāge lapeT dete haiñ
an-kahī se nikalte haiñ to
gahrā.ī meñ an-sunī kā dukh humaktā hai
ḳhvāb par sahrāoñ kā tasallut hai
shor machāte haiñ
sone nahīñ dete
ḳhvāb an-dekhe manāzir se ālūda haiñ
dekhnā chāhte haiñ
lekin shor bahut hai
ḳhvāb meñ bhī
an-sunī kā dukh nahīñ jaatā
an-sunī kā bojh le kar
qāfile guzar jaate haiñ
shahroñ se
dehāt se
aur un ke biich ḳhalā se bhī
kabhī kabhī
mujh jaisā
an-sunī kā bojh le kar
us ke qadmoñ meñ Dher ho jaatā hai
suno
taki an-suni dusre ko taklif na de
jo tumhaare lafz hain
unhen qubul kar lo
jaise
lafz ek bahte rishte mein bandhe hote hain
waise
ye maruz ki sachchaiyon ke gird
mahin dhage lapeT dete hain
an-kahi se nikalte hain to
gahrai mein an-suni ka dukh humakta hai
KHwab par sahraon ka tasallut hai
shor machate hain
sone nahin dete
KHwab an-dekhe manazir se aaluda hain
dekhna chahte hain
lekin shor bahut hai
KHwab mein bhi
an-suni ka dukh nahin jata
an-suni ka bojh le kar
qafile guzar jate hain
shahron se
dehat se
aur un ke bich KHala se bhi
kabhi kabhi
mujh jaisa
an-suni ka bojh le kar
us ke qadmon mein Dher ho jata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.