suraj ka alamiya
mire pīchhe bahut pīchhe
mire maazī ke lambe ġhaar meñ sāñpoñ kā Derā hai
jahāñ pur-haul haibatnāk bhūtoñ kā baserā hai
mire aage bahut aage
mirā rañgīn mustaqbil hai ik phūloñ kī vaadī hai
ki jis kī god meñ ḳhvāboñ kī alhaḌ shāhzādī hai
mire pīchhe
añdhere ġhaar haiñ makḌī ke jaale haiñ
mire aage
sunahre ḳhvāb haiñ kirnoñ ke haale haiñ
maiñ sargarm-e-safar huuñ apnī manzil kī taraf lekin
mirī baḌhtī huī vahshat kā aalam koī kyā jaane
ye lamhe haañ yahī uḌte hue lamhe na haath aa.e
ujaḌ kar rah ga.e ḳhush-rañg ḳhvāboñ ke sanam-ḳhāne
maiñ apne hī lahū kī aag meñ jaltā rahā barsoñ
khanakte hī rahe har bazm har mahfil meñ paimāne
maiñ apne daur kā mahr-e-daraḳhshāñ huuñ magar phir bhī
ye andhā vaqt shāyad umr bhar mujh ko na pahchāne
ye andhā vaqt shāyad umr bhar mujh ko na pahchāne
mere pichhe bahut pichhe
mere mazi ke lambe ghaar mein sanpon ka Dera hai
jahan pur-haul haibatnak bhuton ka basera hai
mere aage bahut aage
mera rangin mustaqbil hai ek phulon ki wadi hai
ki jis ki god mein KHwabon ki alhaD shahzadi hai
mere pichhe
andhere ghaar hain makDi ke jale hain
mere aage
sunahre KHwab hain kirnon ke haale hain
main sargarm-e-safar hun apni manzil ki taraf lekin
meri baDhti hui wahshat ka aalam koi kya jaane
ye lamhe han yahi uDte hue lamhe na hath aae
ujaD kar rah gae KHush-rang KHwabon ke sanam-KHane
main apne hi lahu ki aag mein jalta raha barson
khanakte hi rahe har bazm har mahfil mein paimane
main apne daur ka mahr-e-daraKHshan hun magar phir bhi
ye andha waqt shayad umr bhar mujh ko na pahchane
ye andha waqt shayad umr bhar mujh ko na pahchane
- Book : Khushbu Ka Khwab (Pg. 79)
- Author : Prem Warbartani
- Publication : Miss V. D. Kakkad (1976)
- Edition : 1976
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.