surKH suraj
sāl-e-nau ke calender kī
tasvīr bhī
hai na.e zāviye se tarāshī huī
kuchh na.e rang ḳhākoñ meñ
ubhre hue dekh kar
talḳhī-e-zīst hairāñ huī
un kī shādābiyāñ dekh kar
muskurāne lagī
ḳhud hī ye soch kar
kitne pal aur Thahreñgī shādābiyāñ
kitne din rang Thahre raheñge yahāñ
kyūñki un kā muhāfiz bhī hogā vahī
jis ke raushan ujāloñ se
har rang phīkā paḌā
ab na.e saal kā
surḳh sūraj ubharne to do
vo baḌī shaan se
is calender kī tasvīr ke
ḳhushnumā rang saare nigal jā.egā
aur anjān sā
phir se ubhregā
agle baras
jaise kuchh jāntā hī nahīñ
sal-e-nau ke calender ki
taswir bhi
hai nae zawiye se tarashi hui
kuchh nae rang KHakon mein
ubhre hue dekh kar
talKHi-e-zist hairan hui
un ki shadabiyan dekh kar
muskurane lagi
KHud hi ye soch kar
kitne pal aur Thahrengi shadabiyan
kitne din rang Thahre rahenge yahan
kyunki un ka muhafiz bhi hoga wahi
jis ke raushan ujalon se
har rang phika paDa
ab nae sal ka
surKH suraj ubharne to do
wo baDi shan se
is calender ki taswir ke
KHushnuma rang sare nigal jaega
aur anjaan sa
phir se ubhrega
agle baras
jaise kuchh jaanta hi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.