surma ho ya tara
dard kī lazzat se nā-vāqif ḳhushbū se mānūs na thā
mere ghar kī miTTī se vo shaḳhs bahut begāna thā
taare chunte chunte jis ne phuul nazar-andāz kiye
ḳhvāb kise mālūm nahīñ haiñ lams kise mahbūb nahīñ
lekin jo tābīr na jaane us ko uuñgh bhī lenā aib
raat kī qīmat hijr meñ samjhī jis ne aañsū nuur bane
zaḳhm se uThne vaalī Tīseñ os kī ThanDak piitī haiñ
aaj na pūchho dukhne lagī hai surme se kyuuñ us kī aañkh
jis ko sunahre din kā sūraj kirneñ bāñTne aatā thā
patthar āḳhir patthar hogā surma ho yā taarā ho
dard ki lazzat se na-waqif KHushbu se manus na tha
mere ghar ki miTTi se wo shaKHs bahut begana tha
tare chunte chunte jis ne phul nazar-andaz kiye
KHwab kise malum nahin hain lams kise mahbub nahin
lekin jo tabir na jaane us ko ungh bhi lena aib
raat ki qimat hijr mein samjhi jis ne aansu nur bane
zaKHm se uThne wali Tisen os ki ThanDak piti hain
aaj na puchho dukhne lagi hai surme se kyun us ki aankh
jis ko sunahre din ka suraj kirnen banTne aata tha
patthar aaKHir patthar hoga surma ho ya tara ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.