surur
dekh ke tujh ko ye aatā hai ki likkhūñ maiñ ġhazal
sochtā huuñ maiñ yahī phir ki zarūrat kyā hai
husn pe tere ye ra.anā.ī tirī shaan jo hai
ye tirī zulfoñ meñ ḳham jo hai sarāpe kī shabīh
tere nainoñ kī kajī jo hai adāoñ pe uruuj
surḳhī-e-lab ki jo mazbah hai tamannāoñ kā
terā joban ki jo sharminda-e-sad-fitna hai
sukr ye tere huzūrī kā bayāñ kaise ho
jis kī mastī meñ muqayyad haiñ sabhī ke az.hān
sher-o-naġhme isī sarshārī ke do-gāne haiñ
tum to ḳhud hī ho ġhazal jis pe taġhazzul hai nisār
aur use paḌhnā jo chāhūñ to na is kā itmām
aur lafzoñ meñ utārūñ to har ik lafz surūr
dekh ke tujh ko ye aata hai ki likkhun main ghazal
sochta hun main yahi phir ki zarurat kya hai
husn pe tere ye ranai teri shan jo hai
ye teri zulfon mein KHam jo hai sarape ki shabih
tere nainon ki kaji jo hai adaon pe uruj
surKHi-e-lab ki jo mazbah hai tamannaon ka
tera joban ki jo sharminda-e-sad-fitna hai
sukr ye tere huzuri ka bayan kaise ho
jis ki masti mein muqayyad hain sabhi ke azhan
sher-o-naghme isi sarshaari ke do-gane hain
tum to KHud hi ho ghazal jis pe taghazzul hai nisar
aur use paDhna jo chahun to na is ka itmam
aur lafzon mein utarun to har ek lafz surur
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.