sukha peD
us baaġh meñ peḌ the bahut se
jitne the sabhī hare-bhare the
sirf ek us jhunD se judā thā
be-barg udaas ik taraf khaḌā thā
dekhā to vahīñ Thahar gayā maiñ
be-nām ġhamoñ se bhar gayā maiñ
''kyūñ ruk ga.e'' tum ne mujh se pūchhā
maiñ chup rahā kyā javāb detā
kahtā ki ye naqsh hasratoñ kā
paikar hai guzishta mausamoñ kā
ye merī tumhārī dāstāñ hai
marte hue ishq kā nishāñ hai
us bagh mein peD the bahut se
jitne the sabhi hare-bhare the
sirf ek us jhunD se juda tha
be-barg udas ek taraf khaDa tha
dekha to wahin Thahar gaya main
be-nam ghamon se bhar gaya main
kyun ruk gae tum ne mujh se puchha
main chup raha kya jawab deta
kahta ki ye naqsh hasraton ka
paikar hai guzishta mausamon ka
ye meri tumhaari dastan hai
marte hue ishq ka nishan hai
- Book : Saweera (magazine-56 (Pg. 47)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.