suraj chand sitare
sūraj chāñd sitāre ik din dhartī par aa jaa.eñ
dekh ke un ko duniyā vaale saare chakrā jaa.eñ
din niklā yā raat huī hai koī samajh na paa.e
vaqt kī taal pe chaltī saarī ghaḌiyāñ tham sī jaa.eñ
garmī sardī bārish sab hī hairāñ aur pareshāñ
bhiiḌ meñ jaise aapas meñ kuchh careñ Takrā jaa.eñ
aa kar ik din is dhartī par kheleñ āñkh-micholī
chaaT kachaurī halva puurī phalī daane khā.eñ
ka.ī sitāroñ kā ik jhurmuT geñd uThā kar bhāge
kuchh dariyā kī jānib nikleñ aur kuchh patang uḌā.eñ
jagmag chāñd sitāroñ se ye āñgan merā damke
merī ghar kī chhat hai hāzir kheleñ dhuum machā.eñ
ġham aur māyūsī ke añdhiyāroñ meñ kaise chamkeñ
chāñd sitāre ghar ghar jā kar logoñ ko samjhā.eñ
is dhartī kā ghanā añdherā ik din un se TuuTe
sūraj chāñd sitāre ik din dhartī par aa jaa.eñ
suraj chand sitare ek din dharti par aa jaen
dekh ke un ko duniya wale sare chakra jaen
din nikla ya raat hui hai koi samajh na pae
waqt ki tal pe chalti sari ghaDiyan tham si jaen
garmi sardi barish sab hi hairan aur pareshan
bhiD mein jaise aapas mein kuchh caren Takra jaen
aa kar ek din is dharti par khelen aankh-micholi
chaT kachauri halwa puri phali dane khaen
kai sitaron ka ek jhurmuT gend uTha kar bhage
kuchh dariya ki jaanib niklen aur kuchh patang uDaen
jagmag chand sitaron se ye aangan mera damke
meri ghar ki chhat hai hazir khelen dhum machaen
gham aur mayusi ke andhiyaron mein kaise chamken
chand sitare ghar ghar ja kar logon ko samjhaen
is dharti ka ghana andhera ek din un se TuTe
suraj chand sitare ek din dharti par aa jaen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.