suraj jaga
TūTīñ zulm kī qaideñ TūTīñ
phūTīñ amn kī kirneñ phūTīñ
lūTīñ dil ne ḳhushiyāñ lūTīñ
taare so.e sūraj jaagā
bhāgā ghor añdherā bhāgā
saḳht ghaḌī jo thī biit ga.ī hai
haarī baazī jiit ga.ī hai
ḳhaak meñ ġham kī riit ga.ī hai
taare so.e sūraj jaagā
bhāgā ghor añdherā bhāgā
aa.e ḳhushī ke din yuuñ vatan meñ
phūloñ kī rut jaise chaman meñ
sotī umangeñ jāgīñ man meñ
taare so.e sūraj jaagā
bhāgā ghor añdherā bhāgā
gahrī niiñd se jaagī duniyā
jaagī gangā jaagī jamunā
dhartī par lahrāyā pharerā
taare so.e sūraj jaagā
bhāgā ghor añdherā bhāgā
jaage girjā masjid mandir
khet chaman mill maktab daftar
raushan haiñ sab chhoTe baḌe ghar
taare so.e sūraj jaagā
bhāgā ghor añdherā bhāgā
bichhḌe sāthī milne lage haiñ
chaak jigar ke silne lage haiñ
dil ke ġhunche khilne lage haiñ
taare so.e sūraj jaagā
bhāgā ghor añdherā bhāgā
TuTin zulm ki qaiden TuTin
phuTin amn ki kirnen phuTin
luTin dil ne KHushiyan luTin
tare soe suraj jaga
bhaga ghor andhera bhaga
saKHt ghaDi jo thi bit gai hai
haari bazi jit gai hai
KHak mein gham ki rit gai hai
tare soe suraj jaga
bhaga ghor andhera bhaga
aae KHushi ke din yun watan mein
phulon ki rut jaise chaman mein
soti umangen jagin man mein
tare soe suraj jaga
bhaga ghor andhera bhaga
gahri nind se jagi duniya
jagi ganga jagi jamuna
dharti par lahraya pharera
tare soe suraj jaga
bhaga ghor andhera bhaga
jage girja masjid mandir
khet chaman mill maktab daftar
raushan hain sab chhoTe baDe ghar
tare soe suraj jaga
bhaga ghor andhera bhaga
bichhDe sathi milne lage hain
chaak jigar ke silne lage hain
dil ke ghunche khilne lage hain
tare soe suraj jaga
bhaga ghor andhera bhaga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.