suraj ka aatish-kada
sochtā huuñ
vaqt kī gardan pakaḌ kar
reshmī scarf kā phandā lagā kar
khīñch luuñ
aur itnī zor se chīḳhūñ
zamīñ se
āsmāñ tak
sirf merī chīḳh hī kā shor gūñje
vaqt kī martī huī āvāz koī sun na paa.e
sochtā huuñ
vus.at-e-āfāq meñ parvāz kar ke
raat kī āñkhoñ meñ tārīkī kā parda Daal kar maiñ
chāñd tāroñ ko churā lā.ūñ zamīñ par
aur thoḌī der
bachchoñ kī tarah ḳhush ho ke khelūñ
khelne se bhī jab apnā dil na bahle
ek patthar par paTaḳh kar
har khilaune ko maiñ chaknā-chūr kar duuñ
sochtā huuñ
āsmāñ se chhīn kar
jalte hue sūraj kī thālī
ek kashtī kī tarah
gahre samundar meñ chalā.ūñ
aur us par saarī duniyā ko biThā kar
ġharq kar duuñ
sochtā huuñ
sochte hī sochte
maiñ ḳhud hī ik din
soch ke ātish-kada meñ jal na jā.ūñ
sochta hun
waqt ki gardan pakaD kar
reshmi scarf ka phanda laga kar
khinch lun
aur itni zor se chiKHun
zamin se
aasman tak
sirf meri chiKH hi ka shor gunje
waqt ki marti hui aawaz koi sun na pae
sochta hun
wusat-e-afaq mein parwaz kar ke
raat ki aankhon mein tariki ka parda Dal kar main
chand taron ko chura laun zamin par
aur thoDi der
bachchon ki tarah KHush ho ke khelun
khelne se bhi jab apna dil na bahle
ek patthar par paTaKH kar
har khilaune ko main chakna-chur kar dun
sochta hun
aasman se chhin kar
jalte hue suraj ki thaali
ek kashti ki tarah
gahre samundar mein chalaun
aur us par sari duniya ko biTha kar
gharq kar dun
sochta hun
sochte hi sochte
main KHud hi ek din
soch ke aatish-kada mein jal na jaun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.