suraj ka taaqub
Interesting Fact
(Saughat, Banglore)
kabhī aflāk se nisbat milī hai kaj-kulāhoñ ko
kabhī maiñ bhī tumhārī tarah sūraj par lapaktā thā
magar ik din huā aisā
sunahre rath pe sūraj nā-gahāñ is samt se guzrā
guzarte rath kī zad meñ paañv merā kaT gayā
sūraj ne shān-e-be-niyāzī se
shikasta-pāñv kī chābuk banā.ī
aur gayā aisā ki phir us ne palaT kar bhī nahīñ dekhā
maiñ us sūraj ke pīchhe kyuuñ chalūñ
jis ne shikasta-pā kiyā mujh ko
mubārak ho tumheñ garm-e-safar rahnā
kabhi aflak se nisbat mili hai kaj-kulahon ko
kabhi main bhi tumhaari tarah suraj par lapakta tha
magar ek din hua aisa
sunahre rath pe suraj na-gahan is samt se guzra
guzarte rath ki zad mein panw mera kaT gaya
suraj ne shan-e-be-niyazi se
shikasta-panw ki chabuk banai
aur gaya aisa ki phir us ne palaT kar bhi nahin dekha
main us suraj ke pichhe kyun chalun
jis ne shikasta-pa kiya mujh ko
mubarak ho tumhein garm-e-safar rahna
- Book : 1971 ki Muntakhab Shayri (Pg. 45)
- Author : Kumar Pashi, Prem Gopal Mittal
- Publication : P.K. Publishers, New Delhi (1972)
- Edition : 1972
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.