taaqub mein
tumheñ bhī vo din hai yaad jis din
ga.e the ham tum
mohabbatoñ kī hasīn-o-pur-lutf vādiyoñ meñ
barā.e tafrīh
hasīn rastoñ pe chalte chalte
ik aisī manzil bhī aa ga.ī thī
nahīñ thā ham ko gumān jis kā
surāġh jis kā
'ajīb bastī thī vo bhī jānāñ
vo jis meñ insān hī ke jaise the log saare
magar vo insāñ nahīñ the shāyad
vo kaale kaale 'ajīb chehre
hamārī jānib hī dekhte the
nahīf-o-lāġhar the jism lekin
'ajīb āñkhoñ meñ ik chamak thī
jo pūchhtī thī
hamārī ḳhātir na phal na meve
na khetiyoñ meñ anaaj koī
hamārī tahzīb nai tamaddun muāshra na rivāj koī
ye sab to haq ne tumheñ diyā hai
magar tumheñ hai na qadr in kī
na in kī 'azmat kā kuchh pata hai
ye sun ke tum kuchh saham ga.ī thiiñ
tumhārā chehra Darā huā thā tumhārī āñkheñ phaTī huī thī
vahīñ pe tum ne kahā thā mujh se
kiyā thā sab ko hī rizq dene kā haq ne vā'da
kidhar hai āḳhir
dabī zabāñ se yahī to maiñ ne kahā thā tum se
chalo ki ab ham chaleñ yahāñ se
ye sun ke un meñ se ek bachcha hamārī jānib lapak paḌā thā
vo kaalā kaalā 'ajīb bachcha
nahīf-o-lāġhar ġharīb bachcha
maiñ sochtā huuñ
jo rizq dene kā vā'da rab ne kiyā thā sab se
vo rizq us kā hamārī jeboñ meñ to nahīñ thā
vo jis ko paane kī justujū meñ
vo kaalā kaalā 'ajīb bachcha
mire ta'āqub meñ chal rahā thā
tumhein bhi wo din hai yaad jis din
gae the hum tum
mohabbaton ki hasin-o-pur-lutf wadiyon mein
barae tafrih
hasin raston pe chalte chalte
ek aisi manzil bhi aa gai thi
nahin tha hum ko guman jis ka
suragh jis ka
'ajib basti thi wo bhi jaanan
wo jis mein insan hi ke jaise the log sare
magar wo insan nahin the shayad
wo kale kale 'ajib chehre
hamari jaanib hi dekhte the
nahif-o-laghar the jism lekin
'ajib aankhon mein ek chamak thi
jo puchhti thi
hamari KHatir na phal na mewe
na khetiyon mein anaj koi
hamari tahzib nai tamaddun muashra na riwaj koi
ye sab to haq ne tumhein diya hai
magar tumhein hai na qadr in ki
na in ki 'azmat ka kuchh pata hai
ye sun ke tum kuchh saham gai thin
tumhaara chehra Dara hua tha tumhaari aankhen phaTi hui thi
wahin pe tum ne kaha tha mujh se
kiya tha sab ko hi rizq dene ka haq ne wa'da
kidhar hai aaKHir
dabi zaban se yahi to main ne kaha tha tum se
chalo ki ab hum chalen yahan se
ye sun ke un mein se ek bachcha hamari jaanib lapak paDa tha
wo kala kala 'ajib bachcha
nahif-o-laghar gharib bachcha
main sochta hun
jo rizq dene ka wa'da rab ne kiya tha sab se
wo rizq us ka hamari jebon mein to nahin tha
wo jis ko pane ki justuju mein
wo kala kala 'ajib bachcha
mere ta'aqub mein chal raha tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.