taaqub
ye āvāz usī tarah pīchhā karegī
zamīñ se fazā tak fazā se ḳhalā tak
tamannāoñ kī jāgtī dāstāneñ bikherā karegī
ye āvāz tārīḳh kī be-riyā vādiyoñ se
nikaltī huī marhala marhala
vaqt kā pīchhā kartī chalī aa.ī hai
ḳhanda-sāmāñ guzartī chalī aa.ī hai
ye āvāz bad-ḳhū chaTānoñ se tarshe darīchoñ ko
ik ajnabī rāh-rau kī tarah
thapthapāyā karegī
jilau meñ liye sub.h kī nik.hatoñ ke sharar
ḳhvāb-ālūda zehnoñ se khelā karegī
chhupā.e kaleje meñ ThanDī chitāeñ
ye shikva karegī
ki dhartī kī phailī huī god meñ
niiñd jaadū kī mānind paivast hai
ye āvāz har-gām par be-niyāzāna
idrāk ke qāfile ko pukārā karegī
ki sadiyoñ kī ḳhvābīdgī kī ridā
aadmī apne chehre se sarkā sake
aañkh khole zabāñ kaam meñ lā sake
ye aawaz usi tarah pichha karegi
zamin se faza tak faza se KHala tak
tamannaon ki jagti dastanen bikhera karegi
ye aawaz tariKH ki be-riya wadiyon se
nikalti hui marhala marhala
waqt ka pichha karti chali aai hai
KHanda-saman guzarti chali aai hai
ye aawaz bad-KHu chaTanon se tarshe darichon ko
ek ajnabi rah-rau ki tarah
thapthapaya karegi
jilau mein liye subh ki nikhaton ke sharar
KHwab-aluda zehnon se khela karegi
chhupae kaleje mein ThanDi chitaen
ye shikwa karegi
ki dharti ki phaili hui god mein
nind jadu ki manind paiwast hai
ye aawaz har-gam par be-niyazana
idrak ke qafile ko pukara karegi
ki sadiyon ki KHwabidgi ki rida
aadmi apne chehre se sarka sake
aankh khole zaban kaam mein la sake
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.