talluq
ta.alluq kāñch kā bartan nahīñ
hāthoñ se chhūTe aur chaknā-chūr ho jaa.e
ta.alluq āhanī dīvār hotā hai
ta.alluq āsmānoñ par
chamaktā ik sitāra bhī nahīñ jo raat bhar chamke
magar jaise hī sūraj apnī kirnoñ ko
zamīñ par phailne kā hukm de to
vo kahīñ rū-posh ho jaa.e
ta.alluq āsmāñ hai
ta.alluq mausamoñ kā husn kab hai
jo sadā baaqī nahīñ rahtā
ta.alluq to havā hai
aur zamānat hai hamārī zindagī kī
ta.alluq ahd kab hai jo nibhātā hī nahīñ koī
hamesha TuuT jaatā hai
ta.alluq ishq hai
ehsās hai ḳhushbū hai jaadū hai
ta.alluq vaqt kī sūrat hamesha chaltā rahtā hai
ta.alluq saañs ke mānind hotā hai
ta.alluq toḌne vaalo tumheñ mālūm hai
sachchā ta.alluq ḳhatm ho saktā hai
lekin mar nahīñ saktā
talluq kanch ka bartan nahin
hathon se chhuTe aur chakna-chur ho jae
talluq aahani diwar hota hai
talluq aasmanon par
chamakta ek sitara bhi nahin jo raat bhar chamke
magar jaise hi suraj apni kirnon ko
zamin par phailne ka hukm de to
wo kahin ru-posh ho jae
talluq aasman hai
talluq mausamon ka husn kab hai
jo sada baqi nahin rahta
talluq to hawa hai
aur zamanat hai hamari zindagi ki
talluq ahd kab hai jo nibhata hi nahin koi
hamesha TuT jata hai
talluq ishq hai
ehsas hai KHushbu hai jadu hai
talluq waqt ki surat hamesha chalta rahta hai
talluq sans ke manind hota hai
talluq toDne walo tumhein malum hai
sachcha talluq KHatm ho sakta hai
lekin mar nahin sakta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.