tare
chamko chamko taaro chamko
chamko chamko pyāro chamko
duur yahāñ se tum ho chamakte
jaane kahāñ se tum ho chamakte
kundan ke mānind damakte
duniyā ko hairat se takte
jab ki añdherā ghup chhātā hai
raushan sūraj chhup jaatā hai
ek nazar se sab ko taknā
saarī saarī raat chamaknā
tum ne kyoñ ye aadat kar lī
kyoñ ye ḳhidmat apne sar lī
raah jo un ko tum na dikhāte
kaise musāfir rasta paate
qadam qadam pe aTakte rahte
saarī raat bhaTakte rahte
tum ne in ko raah batā.ī
karte ho tum sab se bhalā.ī
saare jahāñ ko raushan kar do
saarī duniyā nuur se bhar do
mujh se kar lo do do bāteñ
kaT jaa.eñ ye añdherī rāteñ
dekho dekho niiñd na aa.e
jab tak sūraj muñh na dikhā.e
chaTTī chaTTī jot tumhārī
halkī halkī pyārī pyārī
tārīkī meñ raah batā.e
bhaTke huoñ ko ghar pahuñchā.e
aa.e samajh yā ki na aa.e
lekin nuur ye chamke jaa.e
chamko chamko taro chamko
chamko chamko pyaro chamko
dur yahan se tum ho chamakte
jaane kahan se tum ho chamakte
kundan ke manind damakte
duniya ko hairat se takte
jab ki andhera ghup chhata hai
raushan suraj chhup jata hai
ek nazar se sab ko takna
sari sari raat chamakna
tum ne kyon ye aadat kar li
kyon ye KHidmat apne sar li
rah jo un ko tum na dikhate
kaise musafir rasta pate
qadam qadam pe aTakte rahte
sari raat bhaTakte rahte
tum ne in ko rah batai
karte ho tum sab se bhalai
sare jahan ko raushan kar do
sari duniya nur se bhar do
mujh se kar lo do do baaten
kaT jaen ye andheri raaten
dekho dekho nind na aae
jab tak suraj munh na dikhae
chaTTi chaTTi jot tumhaari
halki halki pyari pyari
tariki mein rah batae
bhaTke huon ko ghar pahunchae
aae samajh ya ki na aae
lekin nur ye chamke jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.