tare
zarā nanhe taare mire paas aa jā
tū apnī chamak aa ke mujh ko dikhā jā
idhar aa tujhe haath meñ le ke dekhūñ
ye kyā baat hai tū chamaktā jo hai yuuñ
tū nanhā sā jugnū hai allāh miyāñ kā
tujhe apnī Topī meñ rakh luuñ idhar aa
mirī Topī meñ aa ke jham jham chamaknā
mire sar pe tū raat ko aa ke hañsnā
chamakte ho hañste ho tum itne ūñche
mirā haath pahuñche vahāñ kis tarah se
zamīñ par huuñ maiñ aur tum āsmāñ par
batāo to phir maiñ tumheñ pā.ūñ kyoñ kar
chalā aa chalā aa mire pyāre taare
charāġhoñ se achchhe khilaunoñ se pyāre
taare kā javāb
bulāo na mujh ko tum ai bhole bachche
maiñ kyuuñ kar chalā aa.uuñ apnī jagah se
ḳhudā ne mujhe āsmāñ meñ jaḌā hai
yahīñ us ne rahne ko mujh se kahā hai
bahut duur ho mujh se ai pyāre bachche
pahuñch sakte ho tum mire paas kaise
ḳhudā ne chamak mujh meñ jis tarah dī hai
kitāboñ meñ vo pyāre likkhī hui hai
baḌe ho ke jab tum paḌhoge kitābeñ
samajh meñ phir aa jā.eñgī saarī bāteñ
sitāra huuñ jugnū nahīñ huuñ maiñ pyāre
jo jugnū haiñ vo baaġh meñ haiñ tumhāre
maiñ go tum ko chhoTā nazar aa rahā huuñ
magar saarī duniyā se bhī kuchh baḌā huuñ
maiñ chhoTī sī Topī meñ kis tarah aa.uuñ
chamak kis tarah tum ko apnī dikhā.ūñ
mujhe duur se dekh ke ho lo ḳhush tum
lo ā.eñge kal shaam jaate haiñ ab ham
zara nanhe tare mere pas aa ja
tu apni chamak aa ke mujh ko dikha ja
idhar aa tujhe hath mein le ke dekhun
ye kya baat hai tu chamakta jo hai yun
tu nanha sa jugnu hai allah miyan ka
tujhe apni Topi mein rakh lun idhar aa
meri Topi mein aa ke jham jham chamakna
mere sar pe tu raat ko aa ke hansna
chamakte ho hanste ho tum itne unche
mera hath pahunche wahan kis tarah se
zamin par hun main aur tum aasman par
batao to phir main tumhein paun kyon kar
chala aa chala aa mere pyare tare
charaghon se achchhe khilaunon se pyare
tare ka jawab
bulao na mujh ko tum ai bhole bachche
main kyun kar chala aaun apni jagah se
KHuda ne mujhe aasman mein jaDa hai
yahin us ne rahne ko mujh se kaha hai
bahut dur ho mujh se ai pyare bachche
pahunch sakte ho tum mere pas kaise
KHuda ne chamak mujh mein jis tarah di hai
kitabon mein wo pyare likkhi hui hai
baDe ho ke jab tum paDhoge kitaben
samajh mein phir aa jaengi sari baaten
sitara hun jugnu nahin hun main pyare
jo jugnu hain wo bagh mein hain tumhaare
main go tum ko chhoTa nazar aa raha hun
magar sari duniya se bhi kuchh baDa hun
main chhoTi si Topi mein kis tarah aaun
chamak kis tarah tum ko apni dikhaun
mujhe dur se dekh ke ho lo KHush tum
lo aaenge kal sham jate hain ab hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.